Breaking

Tuesday 30 January 2018

Mahatma Gandhi ke Sapno ka Bharat



Angrezo ki ghulami seh raha Bharat desh 1920 me lagbhag 60 saal se ghulami ki zanjiro me jakda hua tha. Ye baat san 1918 ke qareeb ki hai jab pratham vishwa yuddh ke baad pura vishv Paschimi takato ke takrav se utpann hui aag se jal ke raakh ho chuka tha. Is aage se Bharat bhi achhuta nahi raha kyuki Angrezo ne Bharat se tax ke roop me arbo rupye chura liye the aur logo ko bhukmari ki kagar par la khada kiya tha.

Aise samay me Bharat ki bhoomi par uska ek laal wapas aata hai so kai saal pehle Bharat se London Baristership padne gaya tha jaha se wo Law ki practice karne South Africa chala gaya tha. Us bhoomi putra ka naam Mohamdas Karamchand Gandhi tha. Gujarat ke Porbunder me janme Mohandas ne South Africa me Angrezo ke haatho Bhartiya hone ke naate apmaan bhi saha tha.

Bharat aane ke baad wo is Sankalp me jut gaya ki apni matrubhoomi ko Angrezo ke chungal se azaad karana hai. Lekin iske pehle jawan Mohandas Shri Gopal Krishna Gokhale ke kehne par Bharat bhraman par nikal jaata hai jise pura karne me use teen varsh lag jaate hai. 

Bharat Bhraman ki prakriya me Mohandas kuch aisi stithi se guzarte hai jo is jawan ko andar se parivartit karne me bad yogdaan nibhate hai. Apni yatra se lautne ke baad Mohandas wo Mohandas nahi rehte jo pehle the. Ab unke ang par kapde kam ho jaate hai, wo kabhi First Class me yatra nahi karte aur sada bhojan lena pasand karte hai. Mohandas ab Gandhiji ban jaate hai jinhe log pyar se Bapu bulate hai.

Apni Bharat yatra par Bapu ne kya sikha? Jab unse pucha gaya to Bapu ne kaha ki unhone Bharat ki antaratma ko pehchan liya hai. Bharat garib janta se mil kar bana hua ek bahot hi pyara aur sada mulk hai jisme vibhinn jan jaati aur mazhab ke log ek dusre ke saath rehte hai. Yaha sabse pehli prarthamikta yeh hai ki logo ko do waqt ki roti mil jaae aur ang dhakne ke liye do gaz kapda.

Itni vibhinnata hone ke baad bhi Bharatiyo ka ek saath mil jul kar rehna apne aap me ek chamatkar hai aur Gandhi ji ne hamesha is Vibhinnata me Ekta wale Bharat ko apne sapno ka Bharat kaha hai. Yaha kisi ko uski jaati ya dharm se vishishthta nahi milti balki uske gun se use pehchana jata hai.

Apni dhrud nishchay aur kathin parishram se Gandhi ji ne Angrezo se loha liya aur asankhya Swatantrata senaniyo ke saath mil kar Angrez Sarkar ki ent se ent baja di. Aakhirkaar Angrezo ke haatho se Bharat Maa ko 1947 me aazad kara hi liya gaya.

Lekin ye azadi itni sasti nahi thi. Bharat me rehne wale kuch kattarpanth log jinme Hindu bhi the aur Musalman bhi the, is Bharat ke tukde dekhna chahte the aur wo bhi dharm ke naam par. In logo me sabse upar naam Mohammed Ali Jinna ka tha jisne Angrezo se alag se baat kar ke samjhauta kar liya aur Bharat ke do tukde kar liye jiska naam Pakistan rakha gaya. Bharat ka vibhajan Gandhi ji ke kaleje par churi ki tarha chal gaya aur unhe bahot aahat hua. 

Sirf Jinna hi nahi, Hindu Mahasabha aur Rashtriya Swayam Sevak Sangh (RSS) bhi Hindu Rashtra ke sapne dekh rahe the jo ki Gandhi ji ke Bharat ke sapne se bahot alag sanrachna thi. Lekin Gandhi Ji aur unke sathiyo ne ye saaf kar diya tha ki jo Musalman Pakistan nahi jaana chahte wo Bharat me shanti se reh sakte hai aur unhe koi khatra nahi hoga. Bharat ke sanwidhan me bhi isi baat ko rakha gaya hai ki bharat ek Secular desh hoga jaha sabhi jaati aur dharm ke log ek saath mil kar ek dusre ke saath reh sakte hai.

Lekin Jinna ke Pakistan banne ke baad wo log jo Bharat ko ek Hindu Rashtra banana chahte the, unhe gahra aaghat pahucha jiske natije me unhone Bharat ko ek Secular Democratic State banane ki saza me Gandhi ji ko 30 January 1948 me goli maar kar Shaheed kar diya.

Hatyare, Nathuram Godse aur uske sanghatan, ko laga tha ki Gandhi ji ki hatya ke baad wo apne maqsad ko pahuch jaaege lekin ye sapna Bharat me basne wali Vibhinnata me Ekta wale bhav aur Gandhi Ji ki prerna ko parajit nahi kar paya aur aaj 70 saal baad bhi Bharat duniya ke saamne ek jagmagata hua namuna bana hua hai ki kaise alag alag dharm, jaati, bhasha hone ke baad bhi 100 karod se zyada log ek desh me mil jul kar pyar ke saath reh sakte hai.

Aaj Desh me wohi Gandhi ji ke hatyare Desh ke samajik taane baane ko nuksaan pahuchana chahte hai aur koshish kar rahe hai ki logo ko dharm ke naam par bhadka par ek dusre se lada diya jaae aur desh me ashanti fail jaae aur is beech wo log apna dharm ke naam par desh banana ka zehrila sapna pura kar sake.

Lekin is desh me rehne wale shantipriya logo ko umeed hai ki Vibhinnata me Ekta aur Gandhi Ji ki Prerna ki lau is desh me ashanti ko kabhi swikar nahi karegi aur desh me wohi shanti phir se lautegi aur desh apne adarshwadi dharmnirpeksh mulyo par hamesha khada rahega.

Aaj 30 January 2018 ko Gandhi Ji ke Shahadat ke din hum us mahan atma ko shat shat naman karte hue unke sapno ke Bharat ka sapna pura karne ka Sankalp lete hai.

2 comments:

  1. It's lucky that I have elegant profile in easy community. The blog was totally hard to believe. Lots of surprising info and it can be helpful in a few or the other way. Carry on refreshing the blog looking forward for more contents. Great job you done and keep it up. If you are seeking for a new pan card then you can have this panseva for easily making it and this is a safe service.

    ReplyDelete

विशिष्ट पोस्ट

Pope Francis ki Ayatollah Sistani se Mulaqat

6 March 2021 ka din duniya ke do bade mazhabo ke liye ek khas raha jab Christians ke sabse bade religious authority, Pope Fra...