Breaking

Tuesday 9 March 2021

Pope Francis ki Ayatollah Sistani se Mulaqat

6 March 2021 ka din duniya ke do bade mazhabo ke liye ek khas raha jab Christians ke sabse bade religious authority, Pope Francis, ne Musalmano ke Shia Mazhab ke sabse bade religious authority, Ayatollah Sistani se Mulaqat ki. 

Dono leaders ke offices se jaari press vigyapti ke anusar ye kaha gaya ki mulaqat dono mazhab ke logo ke beech bhaichara badhane aur dono logo ko qareeb lane ke liye thi.

Lekin usi darmiyan kuch gosho kinaro se chand sawal bhi saamne aa rahe the; 

- jaise kyu Pope Francis ne 2021 ke saal ko mulaqat ke liye chuna? 
- Kyu President Trump ke POTUS office chhodne ke baad ye iqdaam liya gaya? 
- Kya is mulaqat ke piche American President Joe Biden ki branding to nahi? 
- Kya America Iraq me kuch din aur rehna chahta hai? 
- Kya Pope ki visit Iraq ke Christian samuday ke protection ke maddenazar karai gayi hai? 

Aise bahot se sawalaat logo ke zehno me ghum rahe hai.

Aaiye is meeting par thoda sa analysis karte hai.

Sabse pehle ye dekhna zaruri hai ki Pope Francis ne Musalmano ke bade authority se ye pehli mulaqat nahi ki hai, iske pehle bhi wo Al Azhar University ke Imam Ahmed Al Tyeb se 2019 me Vatican City me meeting kar chuke hai. 

Islam ne kabhi dusre mazhab aur millat ke logo se milne aur mulaqat karne se mana nahi kiya balki is baat ko badhawa diya hai ki saari insaniyat se Milkar rehna chahiye. Isi ke saath Islam ne officially "War of Conversion" ke liye Musalmano ko kabhi motivate nahi kiya, ye alag baat hai ki Musalman apni raah bhatak gae aur Nabi e Kareem (s) ke baad se le kar aaj tak ek alag drama banakar koi alag chiz ke piche chale gae, jisse khud Musalmano ko kaafi nuksan hua.

Rasul e Akram (s) aur unke paak Ahlebait (as) ki seerat se saaf Zahir hai ki wo Ahle Kitab aur dusre mazhab ke logo se aksar mila karte aur unke saath Nek salook rakhte the.

Isme bhi ye baat nite karne layak hai ki jo log aaj Ayatullah Sistani (DA) ki Pope se meeting ki tareef kar rahe hai wo kal tak apnewalo ke siwa kisi aur ko muhabbat bhari nigah se dekhna tak pasand nahi karte the. Imam Ali (a) ki hadis jisme unhone kaha hai ki "Insan do tarah ke hote hai: ya to wo aapke deeni bhai hai ya phir insaniyat ke naate humsaya hai". 

Jab Ayatullah Sistani ne ISIS ke khilaaf jihad ka fatwa diya tha aur yehi hadis ke tahat Sunni Musalmano ko Shio ka bhai hi nahi balki hum nafs kaha tha to Hindo-Pak se inhi logo ne awaaz buland kar di thi ki ye sirf Iraq ke Sunniyo ke baare me kaha hai. Lekin aaj wohi log is hadis ko apne DP par lagakar ghum rahe hai.

Mujtahid aur Ijtihad Shiat ki ek azeem nemat hai aur Allah is nemat ke zariye hamesha Shiat ko sahi raah dikhata aaya hai.

Pope Francis ke saath meeting me bhi bahot si aisi baate saaf ho gai jisme Islam ka paak chehra saamne runuma to hua hi lekin Kuffar aur Munafiqeen bhi benaqaab ho gae.

Humare buzurg Mujtahedeen kabhi kisi par zulm ke liye logo ko nahi uksaate aur hamesha is baat ki talash me rehte hai ki duniya me amn aur chain faile. Lekin Mujtahedeen is baat se bhi achchi tarah se aashna hote hai ki Zalim ko benaqaab kiya jaae aur uske khilaaf awaaz buland ki jaae. Aur ye baat yaad rahe ki ye awaaz kisi khas mazhab aur firqe ke logo ke liye nahi balki saari insaniyat ke mazloomeen ke liye rehti hai.

Apni mulaqaat me Ayatullah Sistani (DA) ek Shia rehnuma ki haisiyat se nahi mile, jinhe media ne apne bulletins me Shia leader ke naam se famous kiya hua tha, balki Ayatullah Sistani ne tamam aalam ke Musalmano aur Insano ke baare me baat kari aur Pope Francis se kaha ki apne manne walo se kahiye ki bilawajah khoon kharaba kisi mazhab me achchi baat nahi hai.

Ayatullah Sistani (DA) ne Filistin (Palestine) aur Israel ke masle ko khas jagah di aur bataya ki bhale hi Filistine me Shia hazraat kam ya nahi ke barabar rehte hai, lekin Filistin Islami mamlekat ka hissa hai aur waha Israel ke zulm qabil e bardasht nahi. Wo kisi bhi qeemat par Israel ke zulm ke aage Tasleem nahi hoge.

Shia Mazhab ke wo hazraat jo ye dawa to karte hai ki we Ayatullah Sistani ki taqleed me hai lekin Filistin ke masle ko political masla keh kar us par khamoshi ikhtiyar karte hai ya Filistin ke liye awaaz uthane walo par Tanz kaste hai unhe dekh lena chahiye ki Pope Francis se mulaqat me Ayatullah Sistani ne Filistin ke masle ko baaki sab maslo par faukiyat di hai.

Waise agar dekha jaae to is mulaqat se political powers ne apne aap ko dur rakha tha aur duniya ke kisi bhi naam nihaad super power ki taraf se aisa koi bayan nahi aaya jo ye dikhata ho ki hum Pope ya Ayatullah ki baato par amal karne ko tayyar hai, lekin Sistani Sahab ki Pope ko sidhi nasihate ye dikhati hai ki is mulaqat me chize saaf thi ki Pope ke anuyayi American aur European politicians chizo ko suljhane ki jagah use aur uljha rahe hai. 

Khas kar Iraq ke masle ko American forces ki maujoodgi ki wajah se jo nuksan hua uski bharpaai sadiyo tak nahi ho sakti. American invasion ke baad ke 18 saalo me lagbhag 1 million se zyada afraad apni jaan se haath dho baithe aur Shia Sunni samudaae ke beech jo khaleej paida hui hai uski to kabhi bharpaai nahi ho sakti.

Apni choti si mulaqaat me Ayatullah Sistani ne ye paigham to diya hi ki Pope ke manne wale munafiqat se baaz aae aur yeh bhi bata diya ki Maghribi duniya ka Musalmano me tafriqabaazi paida karne ka paintara kaam nahi aaega. Sistani Sahab ne Filistin ke mauzu par zor daal kar dikha diya ki Musalman muttahid hai.

Yaha par afsoos ke saath kehna pad raha hai ki jaise Pope Francis ke manne wale unki baato ko andekha kar ke unke mazhab ka mazak uda rahe hai aur Iraq me qatl o Gharat macha rakhi hai waise hi kuch naam nihaad Ayatullah Sistani ke manne wale bhi unse hat kar is baat par ade hue hai ki duniya ke Musalman Shia aur Sunni me bate hue hai aur wo kabhi ek nahi ho sakte.

Jo bhi is tarah ki soch rakhta hai ki Shia aur Sunni Islam ke do alag chehre hai, Pope ke saath ko apni mulaqaat me Ayatullah Sistani (DA) ne saaf taur par dikha diya ki aisa bilkul nahi hai aur qaum ki leadership is baat par bilkul clear hai aur har wo iqdaam uthane ke liye tayyar hai jisse Shia Sunni ki jaan maal izzat aabru ki hifazat ho sake.

Is mulaqaat se duniya ke tamam logo ke saamne Shiat ka chehra ubhar kar saamne aaya aur wahi yeh baat bhi Zahir hui ki apne ghar ke ek ghoshe me baithe Mujtahid ko khamosh aur kamzor kabhi nahi samajhna chahiye, balki uski baato me ek aisi Ilahi quwat hoti hai jo kaee buto ko ek saath ukhad fekne ke qabil hoti hai.

InshaAllah hum jald dekhenge ki wo waqt jald aaega ko duniya e Islam muttahid ho kar mujtahideen ki qayadat me har qaum (Sunni, Christians, Jews, La Mazhab) ke haq parast afraad ke saath mil kar duniya me adl o insaaf failane khade hoge aur inhe Ilaahi madad naseeb hogi.

1 comment:

  1. Save world in name of religion fight those who are behind this shamefull activities.respect all religions.

    ReplyDelete

विशिष्ट पोस्ट

Pope Francis ki Ayatollah Sistani se Mulaqat

6 March 2021 ka din duniya ke do bade mazhabo ke liye ek khas raha jab Christians ke sabse bade religious authority, Pope Fra...