Breaking

Thursday 14 September 2017

Biography - Syed Hasan Nasrallah - Hezbollah General Secretary


  • Sayyad Hasan Nasarallaah 31 August 1960 ko paida hue. Wo South Lebanon ke "Al-Najoriya village" se aate hai. Unke walid Sayyad Abdul Karim Nasarallaah hain. Sayyad Hasan parivaar me sabase bade hai jis me 3 bhai aur 5 bahane shaamil hain.
  • Unka paidaish aur ghar "Al Karantena" ke pados me tha, Beirut ke Eastern Suburb ilaake me sabase pichde aur sabase garib ilaqo me se ek.
  • Unhonne apni Primary studies "Al-Qifa" private school me puri kari aur Sin-al-Fil ilaqe me "al-thaanuviya al-taraabaavaadi" School me apni Secondary aur Intermediate padhai jaari rakhi
  • Jab 1975 me Lebanon me Civil War bhadaka hua tha, us waqt unka kunba Al-Bajoriya me lauta, jahaan unhone apni Intermidiate studies jaari rakhi. Apni chhoti umr ke baavajood unhe Al-Bajoriyaah village me Al Amal Movement me Chief Coordinator appoint kiya gaya.
  • Apni javani se hi unme mazhabi talim ke liye khas dilchaspi thi aur wo Imam Sayyad Musa al-Sadr se kafi mutassir the.
  • Jab wo South Lebanon ke Tyr ilaake me the, us waqt wo Sayyad Muhammad al-gharavi se mile, jinhonne 1976 me Najaf Ashraf ke Hawza me shaamil hone me unki madad ki thi. isliye, unhonne Najaf Asharaf jaate waqt Sayyad Al-Gharavi ki sifaarish ka khat apane saath rakha jo Shaheed Sayyad Muhammad Baaqir Al-Sadr ke naam tha, jinhonne unke liye khas dilchaspi dikhai thi; is tarah unhe nae shagird ki tarah Sayyad Abbaas al-Mmusaavi ki dekh rekh me rehne ko kaha gaya
  • 1978 me mazhabi madreso ke khilaaf Iraq me taklif badne lagi thi aur Saddam ki Sarkar bahot zulm kar rahi thi; iske chalte unhone khamoshi se Iraq chod kar Lebanon ka rukh kiya. 
  • Lebanon me wo Al-Imaam Al-Muntazar (AS) hawze me shaamil ho gae; is madresse ko Sayyad Abbaas al-Musaavi ne qayam kiya tha. Waha unhonne apni padhai jaari rakhi.
  • Baalbek ke madresse me unki padhai ke alaava, Sayyad Nasarallaah ne Al-Biqa ilaake me Al Amal movement me apni siyasi aur jihadi activities shuroo ki, jahaan unhen 1979 me Al-Biqa ilaake ke Al Amal Movement ka Political Officer aur Polit Bureau ka member appoint kiya gaya
  • 1982 me Al Amal Movement me "Israel" hamle se paida hone wale political changes aur army ke placement par political leadership se takrao hone ke natije me Syed Hasan Nasrallah ke saath saath bahot se officers aur volunteers ne Al Amal movement ko chhod diya
  • Unhonne 1982 me Hezbollah me shuruaat se hi kai zimmedaariyon me bhaag liya, jisme Zionist par attack aur Lebanon me Islamic Resistance Movement me important role ada kiya.
  • Unhonne 1985 tak Baalbek ke Madresse me apni padhai jaari rakhi, aur saath me Al-Biqa ilaqe me Hezbollah me apni Zimmedaari ko bhi nibhaate rahe, jiske baad wo Beirut chale gae jahaan unhonne kai zimmedaariyon me bhaag liya
  • 1987 me, Hezbollah me Chief Executive Officer ki post shuru ki gai; jisapar Syed Hasan Nasrallah ko chuna gaya aur saath hi unhen Consultative Council (Hezbollah me sabse upar ka panel) me membership ke saath ye zimmedaari di gai
  • 1989 me, woh fir se Madresse me shaamil hone aur apni padhai jaari rakhane ke liye Iran ke Qom Muqaddas shahr ke liye chale gae. Haalaanki, Consultative Council ke suggestion par amal karte hue, kuchh buniyaadi officers aur volunteers ki request aur us samay Lebanon ke nazuk political aur critical hadso ki wajah se apni Zimmedaari poori karane ke liye wo ek saal ke baad wapas Lebanon laut aae.
  • 1992 me, Consultative Council ke members ne ijtemai taur se unhen Hezbollah ke General Secretary ke taur par unhe select kiya, jaha unke pehle Shaheed Sayyad Abbaas al-Musaavi General Secretary rah chuke the jinhe 16 February, 1992 ko Tifahata village me "Israeli" sena ke haatho Shaheed kar diya gaya, jab who South Lebanon ke “Jebsheet” village se laut rahe the, jahaan wo shaheed Sheikh Raigheb Harb ki yaad me unki barsi ke program me bhaag lene gae the.
  • Party ke Headquarters me Secretary General ki post par apni zimmedaari ke dauraan Syed Nasrallah ki nigrani me Islamic Resistance Movement ne Israeli sena ke khilaaf kai jung aur muhaaz par saamana kiya, jin me se sabase important July 1993 me "Settling Accounts" aur April 1996 me "Bunches of Anger" jaise bahot hi important operations ko anjam diya gaya jinhe Israel ke khilaf Hezbollah ke sar ke Taj me Diamond ki tarah se dekha jata hai aur jiski wajah se 2000 me Israel ko Lebanon chhod kar bhagna pad gaya.
  • Secretary General ki post par rehte hue Syed Nasrallah ne Hezbollah ko kafi aage badhaya aur Lebanon ki internal security ke saath saath political field me bhi aage badhaya jiske natije me Hezbollah ne Parliamentary elections me bhag liya aur 12 seats bhi jeeti. Lebanon me civil war ke khatme ke baad yeh pahala chunaav tha.
  • September 1997 ko South Lebanon ke Jabl al-Raafi me Israeli Occupation Forces ke khilaaf ek muhaaz par Syed Hasan Nasrallah ke sabase bade bete Muhammad Haadi shaheed ho gae.
  • Syed Hasan Nasrallah ki Shadi Faatima Yaasin se hui hai aur unke paanch bachche hain: (shaheed Haadi), Muhammad Javaad, Zainab, Muhammad Ali aur Mohammad Mahadi.
  • 1982 se Israeli forces ke Lebanon me kabze ka silsila jari hi tha lekin Hezbollah ki fauj ne Southern Lebanon me Israeli forces ko itna pareshan kiya ki san 2000 me majburan Israeli Knesset ko resolution pass kar ke apni forces ko Lebanon se bahar karna pada. Ye pehli baar hua tha ki Israel apni fauj ko kisi dusre desh ki zameen se beizzat ho kar piche le raha tha.
  • Is beizzati ka badla lene ke liye Israel ne bahot si chaale chali. United Nations ne Israel aur Lebanon ki sarhad par UNIFIL ke naam se apni fauje bitha di taaki Hezbollah ko Israeli sarhad se dur rakh sake, lekin Hezbollah ki kamiyabi khatm hone ka naam nahi le rahi thi.
  • 2006 me Hezbollah ne Lebanon ki sarhad me enter karne wale 2 Israeli sainkio ko giraftar kar liya jiske badle me Hezbollah ne bahot se aise logo ki rihai ki maang kari jise aazad karne ke liye Israel kabhi razi nahi ho sakta tha, jisme sabse upar Shaheed Saamir Kuntar ka naam tha
  • Is giraftari ke jawab me Israel ne Lebanon par hamla kar Diya. Is hamle ke piche Israel ke kuch maqsad the wo is tarah the:

1. Giraftar kiye hue Israeli sainiko ko azad karwana

2. Hezbollah ke General Secretary, Syed Hasan Nasrallah ko Shaheed karna

3. Hezbollah ke TV channel, Al Manar, ki transmission ko rokna

4. Lebanon me Hezbollah ke ground network ko khatm karna

5. Lebanon ke infrastructure ko nuksan pahucha kar Lebanese logo ke dilo me Hezbollah ke khilaf nafrat bharna


  • Ye jung 33 roz tak chali, lekin Israel in maqasid me se ek bhi maqsad ko hasil nahi kar saka.
  • Iske ulat saari duniya ke saamne Israel ki pol khul gai. 
  • Uske Merkava Tanks, jispar Israeli fauj ko bahot naaz tha, use Hezbollah ne chun chun kar maara. Israeli Naval ship ko samandar me khatm kar diya aur Israeli fauj ne dar ke maare Lebenese zameen par qadam tak nahi rakhe.
  • Is jung se Hezbollah ka qad saari duniya me aur khas kar Musalmano me bahot badh gaya aur Israel ka bhoot utar gaya
  • Is jung ke baad se aaj tak Israel ne bahot koshishe aur bahane talash kiye ki Hezbollah par sidhe hamla kiya jaae, lekin isme kamiyabi nahi mil saki
  • Syed Hasan Nasrallah ki leadership me ye jung se Hezbollah ne bahot badi kamiyabi hasil ki
  • Dushman ne siddha hamla kar ke dekh liya ki kamiyabi nahi mil saki to 2010 ke baad ISIS ki shakl me Lebanon aur Syria me kabza karne ki koshish karne laga
  • Lebanese groups aur politicians ki mukhalifat karte hue Hezbollah ne Syria aur Iraq me ja kar waha ki maqami forces ke saath mil kar ISIS se muqabla kiya
  • Iska faaeda ye hua ki ISIS Lebanon ko zyada nuksan nahi pahucha saka aur Iraq Syria me hi usko shikast dene me Hezbollah kamiyaab raha
  • Aaj ki tarikh me Hezbollah ek azeem Islamic Resistance Group hai jo Israel ke sar chad kar bolta hai aur Syed Hasan Nasrallah saare Middle East ki awaaz ban kar dushmano ko lohe ke chane chabwa rahe hai
  • Allah se dua hai ki Syed Hasan ki hamesha hifazat kare aur inke dushmano, bhale hi wo kisi bhi giroh me ho, unhe nistonabood kare.

No comments:

Post a Comment

विशिष्ट पोस्ट

Pope Francis ki Ayatollah Sistani se Mulaqat

6 March 2021 ka din duniya ke do bade mazhabo ke liye ek khas raha jab Christians ke sabse bade religious authority, Pope Fra...