Breaking

Wednesday 30 September 2015

2015 Hajj ke hadsaat aur Saudi Arab se sawalaat


Mahe Zilqad ke qarib aate hi saari duniya ke hajiyo me ek josh umad padta hai ki unhe Allah (swt) ke ghar, Baitullah sharif, ki ziyarat karne ka sharaf hasil hua. Hujjaj apna saara dhyan apne is muqaddas safar par rakhte hai aur koshish karte hai ki is safar par zyada se zyada Allah ko yaad kare, mazi me hue apne gunaho ki maafi talab kare aur aane wale waqt me sidhe raste par chalne ka ahad kare. 

Ghair zaruri chizo se apna dhyan hatane ke liye Haji hazraat achche Haj Tour Organizer se services lete hai taaki safar aasan ho aur we apne Haj ke arkaan sahi se anjaam de sake. Hajj tour wale usi waqt achchi services de sakta hai jab mezbaan Saudi Arab achche policies banaae aur Hajiyo ki sahulat ka khas khyal rakhe. 


Hajj ke mauqe par har saal saar duniya se Makka aur Madina ki ziyarat ke liye taqriban 30 se 35 lakh Haji aate hai aur lagbhag 20 dino tak in muqaddas shahro me rehte hai. In 20 dino me Hajiyo ke rehne, khane aur digar sahulato ke intezaam ki bagdor Saudi Arab ne apne haath me le rakhi hai aur kisi ko dakhal ki ijazat nahi hai.

Haal ki tarikh me 1990 ke baad se abhi tak ke haadsaat Saudi Arab ki Hajj ko sahi se manage karne me na-ahli ka sabut dete hai. 1990 me 1426 Hajiyo ki maut, 1994 me 270, 1997 me 340, 1998 me 180, 2001 me 35, 2004 me 244, 2006 me 360 aur is saal crane ke hadse me 110 logo ki jaane gai aur kuch hi dino baad Mina me bhagdad machne se hazaro log maut ke ghat utar gae. Is saal ki Mina ki bhagdad me marne walo ki tadad 4000 tak bhi pahuchne ka andesha jataya ja raha hai.

70 saal se Hajj ka intezaam kar rahi Saudi hukumat Hajj ke intezaam ke naam par Hajiyo se moti rakam wasul karti hai. Jo Hajj kuch saal pehle tak kam qimat par ho jata tha, aaj doguni qimat ada kar ke bhi nahi ho pata. Agar Saudi Hukumat apne aap ko khadim e Haramain Sharifain pukarti hai to phir Hajiyo par ye intezami tax kaisa?

Hajj ke intezaam ke naam par Haram ke atraaf badi badi imarate khadi karna kis baat ki daleel hai? Aaj agar ham Masjid-al-Haram ki tasweer dekhte hai to Minare kam aur cranes zyada nazar aati hai. Inhi crano me se ek crane Hajj ke bilkul pehle Hajiyo par giri thi jisme 100 se zyada logo ko apni jaan se hath dhona pad gaya tha. 

Is ilzaam se apne aap ko bachane ke liye Saudi hukumat ne pehle aandhi tufan aur bijli girne ka bahana banaya lekin baad me ise construction company ke naam par daal kar use mazul kar diya. Isi ke sath ummat-e-muslima ki nazar hatane ke liye Saudi baadshah ne har ek marnewale ke gharwalo ko 2 karod rupye dene ka wada kiya aur agle saal ghar me se do logo ko shahi Hajj ki dawat de di, jiske behkawe me bholi ummat Saudi baadshah ko sawal puchne ki jagah uski tarif karne lagi.

Crane ka hadsa ummat ki aakhe kholne ke liye kaafi tha, lekin behis aur propaganda ke bich dabi hui ummat apni nind se bedaar na ho saki aur kuch hi dino ke bich dusre hadse ne ummat ko ghamgeen kar diya. Mina ki bhagdad me 1000 se 4000 ke bich logo ke marne ki khabar hai. 


In sab ke bich Saudi khandaan aur unke khas mehmaano ko makhsus riyayate logo ki pareshani ki ek badi wajah dikhti hai. Phir wo Kabe ka tawaaf ho ya Jamaraat me kankari maarna ho; Saudi khandaan ko har jagah logo par sabaqat hasil hoti hai. Jaha log tapti dhoop me dhakke khate hue Hajj ke rusumaat ko pura karne ki taklif jhelte hai; wahi Saudi khandaan aish-o-araam se in arkaan ko logo ko pareshani me daal kar pura karte hai.



Aaj waqt aa gaya hai ki Ummat Saudi khandaan se sawaal kare ki kya wajah hai ki Makka me Haram ke kaam ke naam par badi badi Hotel khadi ki gai, jaha par sirf Ameero ko andar jaane ki ijazat hai? Kya wajah hai ki Saudi khandaan ko khas riyayat hasil hai aur dusri awaam ko dhakke khane pad rahe hai?

Isi ke sath Saudi hukumat ko apni laparwahi aur galtiyo ke liye Ummat-e-Muslima se maafi bhi mangni chahiye kyuki ye hadesaat Saudi hukumat ke zere-ehtemaam hue hai.

Agar aaj sawaal nahi uthaya gaya to aane wale waqt me kahi aur begunaah masumo ki jaane na chali jaae.

1 comment:

  1. Thanks for information.i really like your blog and information keep it up and i m also waiting for your next blog ...... travel visa business visa

    ReplyDelete

विशिष्ट पोस्ट

Pope Francis ki Ayatollah Sistani se Mulaqat

6 March 2021 ka din duniya ke do bade mazhabo ke liye ek khas raha jab Christians ke sabse bade religious authority, Pope Fra...