Breaking

Tuesday 6 October 2015

Kya ye Third World War ki shuruwaat hai?




2011 me Arab Spring aane ke baad se jaise Middle East ka naksha hi tabdeel ho gaya. Arab mamalik me ek ke baad dusre mulk me hukumat badalne lagi aur waqt aise daudne laga ke use pahiye lag gae ho. Ek sanihe ka jaeza lene ke pehle dusra saniha hone laga. Ek fikr rakhne wale mulk saath mil kar saamne aane lage aur duniya jaise do giroh me bat gai.

Sabki nazre ja kar ek mulk par tiki hui hai jiska naam “Syria” hai; jaha par President Assad ka khandan pichle kuch dashako se hukumat kar raha hai. Syria ek aisa mulk hai jaha par sabhi maslak-o-mazhab ke log mil kar rehte hai. 1960 ke andruni ladai ke natije me Bashar Al Assad ke baap, Hafiz Al Assad ne hukumat apne hatho me le li thi; jiske baad se 2011 tak Syria me koi bada mamla pesh nahi aaya. Syria itna taqatwar ho gaya tha ki uski fauje kai saalo tak Lebanon ke upari hisse ko apne kabze me liye hue thi aur Syria Israel se sidhe takkar le raha tha.


Israel ka kattar dushman hone ka khamiyaza Syria ko uthana pada. 2011 ke Arab Spring ke waqt maghribi taqato ne Syria me logo ko uksaya aur unhe paiso aur hathiyaro se khuli madad ki. Is madad me sirf maghribi taqate shamil nahi thi, balki Middle East ki badi taqato ne bhi badh chad kar hissa liya, jisme Saudi Arabia, Bahrain, Qatar aur Kuwait ke naam shamil hai. Turkey ne bhi apni taraf se bharpoor sath diya ki Syria me hukumat ka takhta palat ho jaae.

In mulko ne Syria me nikle ek chote se protest ko bade civil war me tabdeel kar diya. Paiso aur Hathiyaro ki supply me koi kasar nahi chodi gai aur har mumkin koshish ki gai ke Syria me Assad ki hukumat ko ukhad feka jaae. Lekin ye itna aasan sabit nahi hua. Assad ki faujo ne mamle ko sahi tariqe se sambhale rakha. 

In sab wardaat ke bich Assad ko kuch aise mulko aur giroho ka saath mila jo Israel ke khilaaf ek arse se jang lad rahe the; jisme Lebanon ka giroh Hezbollah aur Jamhuriye Islami Iran shamil the. Hezbollah ne Lebanon ki sarhado ko un dehshatgardo se mehfuz rakha jinhe maghrib ne paiso aur hathiyaro ke zor pe Assad ko girane ke liye paida kiya tha. Aur Iran ke special advisors ne Syrian faujo ko hamla karne ki planning banane me madad kari.

Arab aur Maghrib ki madad se Syria me sirf Baghiyo ko madad nahi mili balki ek aise giroh ne janam liya jisne insaniyat ko andar se hila diya. Is giroh ne Islam ka naam istemaal kar ke har wo jurm anjaam diye jisse Islam ne dur rehne ka hukm diya hai. Is giroh ne pehle apna naam Islamic State in Iraq & Sham rakha, jise baad me tabdeel kar ke “Islamic State” kar diya. ISIS ne sirf Syria ke ilaaqo par kabza nahi kiya balki 2014 me Iraq me hamla kar ke Syria se lage hue Iraq ko bhi apne kabze me le liya. Hamla itna shadeed tha ki Baghdaad se 40 km dur Falluja par bhi ISIS ka kabza ho gaya.

Ab Syria me Assad ki hukumat Baghiyo ke saath saath ISIS se bhi jang karne lagi. Agar zamini haqiqat par nazar daale to Baghi ISIS ka hi ek hissa hai aur dono sath me mil kar Assad hukumat ko girane ke liye kaam kar rahe hai. 

Yaha par Sawaal ye uthata hai ki “West, Arab mamalik, ISIS aur Rebels mil kar Assad ki hukumat girane ke liye itni koshish kyu kar rahe hai?”

Jaisa ki pehle bataya gaya ki Syria ki sarhade Israel se milti hai aur Syria pehle se hi Israel ka shadeed dushman raha hai. Abhi bhi jitney bhi giroh Israel ke khilaaf mohim sambhale hue hai unhe Syria ka support hasil hai. Israel us waqt tak chain ki nind nahi so sakta jab tak Syria me Assad ki hukumat tabdeel ho kar Israel ka pasandida shaks Syria me hakim nahi ban jata.

In sab ke chalte do giroh saaf saaf dikhai dene lage hai. Ek taraf America ki sarparasti me Arab mamalik jisme Saudi Arabia, Qatar, Kuwait, Bahrain shamil hai; European mamalik jaise France, Britain, Turkey aur Middle East me America ka sabse bada dost Israel shamil hai. Aur dusri taraf is giroh ke banae gae aatankwadi giroh ki maar khae hue Syria aur Iraq ke saath Lebanon ka giroh Hezbollah, Iran aur Russia shamil ho gae hai.

Syria mamle me do tukdo me bat ti duniya khatre ki ghanti hai. Pehle ke do World Wars me duniya aise hi do giroh me bat gai thi, jisne bardasht ke bahar nuksaan pahuchane wale do bade jango ko janam diya. Aaj phir se duniya do giroh me taqseem ho rahi hai.

Is mauqe par hame dekhna hoga ki kaun sa giroh sahi hai aur kaun sa galat taaki ham sahi ka saath de. Ek taraf Israel ki hifazat me aae hue maghribi aur Arab mamalik aur dusri taraf khud apni hifazat kar rahe mulk. 

Baat paani ki tarah saaf hai lekin media aur jazbaati log aa kar ise firqawariyat ka rang de kar logo ke saamne pechida bana rahe hai. Ummat ko aaj aakhe kholne ki zarurat hai aur firqaparasti chod kar haq ka saath dene aur batil ke khilaaf ek hone ki zarurat hai. 

Tehrir: Abbas Hindi

2 comments:

  1. salam bhai hindustan k halat bhi jara khor kar k likhe musalman kay tha or kay huwa,
    or dusri bat aj jo hindisatan me har sarkari iskulome hundu ganrath parane par jor diya jata he us ko likho,
    dusra aj k halat me musalman kese apas me jurjaye ye bhi likho,
    dusra yeke musalim nojavan kese pare or para e me sokh peda ho, or unko nokriya kese mile or inhe kese 1 kiya jaya take vo takvar ho (nojavan) unke andar islamik jajbat kese bare or bahot bate he mere bhai ap likho apni sahi dinki soch k sath, ok
    allahafij

    ReplyDelete

विशिष्ट पोस्ट

Pope Francis ki Ayatollah Sistani se Mulaqat

6 March 2021 ka din duniya ke do bade mazhabo ke liye ek khas raha jab Christians ke sabse bade religious authority, Pope Fra...