Breaking

Tuesday 4 October 2016

Muharram me matam aur rona kyu?



Islami calendar ka pehla mahina Muharram hai aur duniya ki reet hai ki nae saal ki shuruwaat khushi aur mubarakbaadi se ki jaati hai; lekin Muharram ki baat kuch alag dikhai deti hai. Musalman apne nae saal ki shuruwaat matam aur rone se karte hai.


Iski wajah yeh hai ki is mahine me Muharram ki 10 tarikh ko 61 Hijri (680 AD) me Musalmano ke Paighambar Mohammed sahab ke nawase ko teen din ka bhuka pyasa unke rishtedaro aur sathiyo ke saath Iraq me Karbala ke registan me Shaheed kar diya gaya tha. Unki galti ye thi ki unhone apne zamane ke naam nihad baadshah Yazeed (la), jisne khud se apne aap ko raja ghoshit kar diya tha, uske khilaaf awaaz uthai thi aur uski najayaz maango ko maanne se inkar kar diya tha.

Aaj kal Musalmano me kuch log sawal uthate hai ki “rona kaha tak jayaz hai?” Ye kaha jaata hai ki jo log mar chuke hai un par rona Islam me jayaz nahi aur bahot se manghadat kahaniya aur riwayat bana kar saamne rakhe jaate hai.

Ye baat khud Paighambar Mohammed Sahab (s) ki zindagi se sabit hai ki unhone Ohad ki ladhai ke baad ladhai me Shaheed hue logo par matam aur girya kiya. Is ladhai me bahot se Musalman Shaheed hue the jinme Khud Paighambar (s) ke chacha, Hamza, bhi Shaheed hue the. Ohad ki ladhai ke bahot dino baad tak Madine se log Ohad ke qabrastan ja kar apni aqidat un Shaheedo ko pesh karte the, jise Paighambar (s) ne kabhi mana nahi kiya.

Is sab se alag ja kar aaj kuch log to Yazeed, jisne Imam Hussain (a) ko apni maango ke saamne jhukne ke liye majboor kiya tha, ko ek achcha aur nek insaan sabit karne lage hai, jo ki ek bahot hi ghatiya amal hai aur Islami tarikh (History) ke saath na-insafi hai.

Humne dekha hai ki history me bahot badi badi ladhaiya hui jisme hazaro log maare gae, aur aisi ladhiya bhi hui jisme logo par had se zyada zulm bhi kiye gaae; lekin kabhi kisi ladhi ki itni yaad nahi ki gai jitni yaad Karbala ki ladhai ki Muharram me har saal ki jaati hai, aisa kyu?



Muharram me Imam Hussain (a) par rona sirf isliye nahi hai ki wo Karbala ke biyabaan jungle me bedardi ke saath qatl kar diye gae; balki rona aur matam is liye hai ki hum Imam Hussain (a) ke dard ko samajh sake; ye samajh sake ki wo kyu dard me the. 

Wo isliye dard me nahi the ki unke sathiyo aur bachcho ko Shaheed kar diya gaya; apne sathiyo ki shahadat ke baad to Imam (a) ne Allah ka shukr ada kiya tha. Imam (a) ka asli dard tha ki zalim aur jabir log hukmaran ban chuke the aur logo ko isse koi lena dena nahi tha.


Imam Sajjad ne kaha hai ki Shahaadat to Humaare liye Allah ki Taraf se karaamat aur azmat ki baat hai.

  • Muharram ka Gham yaani Imam Hussain ke Dard ko Samajhna
  • Muharram mein gham is baat ka hai ki Imam Hussain Tanha reh gaye the
  • Muharram ka Gham is baat par hai ki Haq aur Baatil ki Jung mein Haq tanha reh gaya
  • Muharram ka Gham yaani yeh samajhna ki Imam Hussain ki pukaar ka Jawaab ummat mein se sirf 72 ne Diya
  • Muharram ka Gham yaani Imam Hussain ka dard - ki Ek Zaalim hukmaraan huqoomat kar Raha hai aur Ummat ko farq nahin padhta, ummat khamosh rehti hai
  • Muharram ka Gham yaani Imam Mahdi (atfs) ke dard aur intezaar ko samajhna, Jo wahi Zaalim Yazeediyat ke Khilaaf Ummat ko Pukaar Rahi hai

Aaj hum Muharram me apne aap se sawal kare:

  • Kya hum Imam Hussain (a) ke is dard ko samajh rahe hai?
  • Kya hum apne zamane ke zalimo ko hukumat ke takht par baitha dekh kar khamosh hai ya Imam Hussain (a) ki seerat par chalte hue koi harkat kar rahe hai?
  • Kya humari zindagi apne aap me guzar rahi hai ya hum duniya me Imam Hussain (a) ka paigham failane ke liye koi kaam kar rahe hai?
  • Kya hum Muharram me matam aur girya kar ke ye samajh rahe hai ki hum Jannat ke haqdar ban rahe hai; jabki Imam Hussain (a) hum se apne dil me zalim ke khilaf nafrat aur mazloom ke liye hamdardi chah rahe hai

Aise bahot se sawal hai jo hume in dino me apne aap se karna hoga jiske natije me hum ek kamiyaab Hussaini ban sake aur duniya o aakhirat me Imam Hussain (a) ke madadgar me shamil ho sake.

Tehrir: Abbas Hindi

No comments:

Post a Comment

विशिष्ट पोस्ट

Pope Francis ki Ayatollah Sistani se Mulaqat

6 March 2021 ka din duniya ke do bade mazhabo ke liye ek khas raha jab Christians ke sabse bade religious authority, Pope Fra...