Breaking

Friday 14 October 2016

Kya Shia Hilal ab chaudhvi ka chand numa ho gaya hai?

Aaj se kuch saal pehle jab Iran me Islami Inqelaab aaya aur dhire dhire Iran ki taqat badne lagi tab Maghribi mamalik (Western Countries) Arab ke Sunni baadshaho ko darane ke liye ek naya kalaam nikala jise "Shi'i Hilal" (Shia Crescent) ke naame se jana jaata hai.

Kya hai ye Shi'i Hilal?

Arab duniya ko Shia Iran se darane ke liye America ne khas taur se apni media ke zariye is baat par zor diya ki Iran ki qayadat me bahot se Arab mamalik me Shia awaam ekjut ho rahi hai aur ye Sunni hazraat ke liye aage chal kar ek bada kharta ban sakta hai. Western Media ka banaya hua yeh Shi'i Hilal West me Lebanon se shuru ho kar Syria, Iraq, Iran, Bahrain aur Saudi Arabia ke Katif tak jata tha. 

Media ne is baat ko bahot uchala ki jaha jaha bhi Sunni Hukmarano ke khilaaf Shia ehtejaaj kar rahe hai un sab ke piche Iran ka haath hai. Media ki is baat  ka kafi asar bhi dekhne mila jiske natije me Arab mamalik me jaise ek Civil War shuru ho gaya, ISIS ka qayam hua, Saudi Arabia, Qatar aur Turkey ne khul kar aur chupe hue Syria aur digar mulko me terrorist organizations ko support karna shuru kar diya, Sath hi Yemen ki masoom awam par Saudi Arab apne pyade president "Abd Rabbuh Mansur Hadi" ko baitha kar awaam par zulm kar raha tha, jise Yemeni logo ne nikal bahar kiya, jiske natije me Saudi Arabia aur duniya ke bahot se bade mamalik jaise America aur Britain ke saath Arab ke sabhi Armies ne Yemen par chadai kar di.

Media ke is jhoot ka jawab dene ke liye Iran aur dusre Shia olema jaise Ayatollah Sistani ki taraf se ittehad ka paigham diya gaya jisme "Shia Sunni bhai bhai" ki awaaz ko puri taqat ke saath ubhara gaya. Iran me bahot se alami level ke conferences hue jisme Shia Sunni olemao ne hissa liya aur bhaichare ka mahol banane ki koshish ki gai. Lekin iske khilaaf Arab aur Western media ne firqawariyat ko bahot hawa dene ki koshish jaari rakhi. ISIS ko Arab hukumato ka support sabhi ke saamne khuli hui baat hai.

Baat Iran se shuru hui thi jise mitane ki har mumkin koshish ki gai lekin sach ka saath badhta gaya aur aaj sachchai ki taqat duniya ke saamne hai. 
  • Lebanon me Hezbollah itna taqatwar ban gaya hai ki Israel bhi iske saamne kuch kehne se darta hai. 
  • Syria me ISIS ki madad karne ke liye saari duniya se funds aur hathiyaar aa rahe hai lekin phir bhi waha we log haar ka saamna kar rahe hai. 
  • Iraq me Government stable hai aur Iran ke saath bahot achche tallukaat bana kar din ba din aage badh rahi hai. 
  • Yemen me "Ansarullah" ka lashkar, jisme Zaidi Shia aur Shafaii Sunni shamil hai, Saudi Arab ke khilaaf ek saal se zyada arse se date hue hai, jabke Saudi Arab ko saari duniya ki himayat hasil hai aur Yemen sirf aur sirf apne balbute par lad raha hai. 
  • Itna hi nahi, Africa ke Nigeria me bhi Sheikh Ibrahim Zakzaki ki qayadat me awaam itna aage badi ki Saudi Arab aur West ke pressure me Muharram ki majlis par hamla kar ke hazaro sogwaro ko Shaheed kar diya. 
  • Bahrain me bhi awaam ne Khalifa ke khilaaf muhaaz khol diya hai lekin Khalifa har tarah ke mazalim logo par kar raha hai. Lekin Government ki mukhalifat badhti hi ja rahi hai.
  • Khud Saudi Arab ke Katif ilaqe me awaam ka gussa zoro par hai aur Government ke khilaaf muzahere aksar hote rehte hai
West ne har pal ye koshish ki is ladai ko Shia Sunni jung ke naam par uksaae lekin sachchai janne walo ke saamne baat saaf hai ki yeh jang Shia Sunni ki jang nahi balki West ke jhute propagande ke muqable me sach ki ladai hai.

Wo waqt jald aaega ki duniya dekhegi "Haq aaya, Batil gaya, aur Batil ko to beshak jana hi tha"

No comments:

Post a Comment

विशिष्ट पोस्ट

Pope Francis ki Ayatollah Sistani se Mulaqat

6 March 2021 ka din duniya ke do bade mazhabo ke liye ek khas raha jab Christians ke sabse bade religious authority, Pope Fra...