Breaking

Thursday 18 February 2016

JNU aur Hum!!!




Saari duniya me zulm ke khilaaf phaili hui aag bhadakne ke saath hi mere mulk ko bhi chu si gai. Jab maine News channel ON kiya to dekha ki Hindustan ke educational institute ke students naare bazi kar ke apna virodh jata rahe the. Kaisa virodh? Kiske khilaaf virodh?

Jab dhyan diya to pata chala ki ek kattarpanthi group colleges me apni ideology ko thopne par ada hua tha aur iske liye ek planning ke chalte sarkaari level par kaam kiya ja raha tha. Dekhte hi dekhte ek saal me kaafi kuch badal gaya. Log jaha dusre mazhab ke sath rehne me koi pareshani nahi mehsus karte the, ab wahan chehro par shikan dikhai dene lagi thi. Yehi mahol colleges aur universities me bhi dikhne laga. Waha par to mamla mazhab se bhi aage bad gaya aur sochne par bhi pabandiyan lagne lagi.

Pune ke Film institute ho ya phir Hyderabad ki University… Students ko apni narazgi logo aur media ko batane ke liye apni jaan tak deni padi. Kattarwadi group chun chun kar aise logo ko maarne lage jo unke khilaaf bolte the. Is list me Pune ke Dabholkar aur Pansare ka naam sabse upar likha gaya jiske baad Karnataka ke Professor Kalburgi aur Andhra ke Rohith Vemula jud gae. In shaheedo ka khoon jab bolne laga to desh ke har school aur college se awaaz aane lagi.

Ruling BJP ko itne ilzaam apne upar lagte dar lagne laga aur desh virodhi naaro ka ek bahana bana kar Hindustan ki raajdhani Delhi me maujood Jawaharlal Nehru University me hamla sa bol diya. Fir kya tha, ab to jang sidhi shuru ho gai. Students’ aur Hindutva ideology ko represent karte BJP, Bajrang Dal, ABVP aur Modi ji ki sarkaar aamne saamne khade nazar aae.

Is jang me media ne apna kaam bhalibhati nibhaya. Corporates se funding lete media channels, sarkaar ke geet gaate sunai diye. Ekka dukka channels ko chod de to baki sab desh ke bhavishya hone wale honhaar students ko deshdrohi aur aatankwadi tak kehne lage. 

Jab baat aai ki is pure incidence ko report kiya jaae; BJP aur Sangh ke log reporters aur journalist par khule aam hamla karte nazar aae. Delhi police maano sakte me padi hui saara mamla apni aankho ke saamne hota dekh bhi kuch nahi kar sakti; Upar se order jo nahi the. 

Agar hum dhyan de to BJP ki sarkaar aate hi mamla ashanshilta ka utha tha jisme ko mazhab ko ladaya ja raha tha. Lekin ab yeh ladai dharmo se aage badh kar do ideologies ki ho gai hai. Police ne JNU me ghus kar Students wing ke leader Kanahiya Kumar ko giraftar kar liya. Jab kanahiya ki sunwai Patiyala Court me tai paai to BJP bhakt vakilo ne court premises me maujood students par police ke saamne hamla kar diya; aur Police mu takti rehi. Ye haal ek baar nahi balki 17 February ko dusri peshi me bhi hua. 17 February ko mamle ki sangidgi ko dekhte hue Supreme Court ne Police department ko mustaidai baratne ko kaha tha aur Court parisar me limited logo ko entry ki permission di thi. Lekin court ke orders ki parwah kiya bagair sanghi logo ne pehle se zyada utpaat machaya aur journalists tak ko nahi choda.


  • Kya yeh wahi Hindustan hai jo saari duniya me apni amn o shanti ki buniyaad par jana jaata hai? 
  • Kya ise ashanshilta nahi kahege jab apne se dusri fikr rakhne walo ko bardasht tak na kiya jaae?
  • Educational institutes me students ko sochne ki aur padhne ki azaadi ki jagah pabandiya aur restrictions laga diye jaae aur aise faculty appoint kiye jaae jo opposite ideology ko promote karte hai; kya aise se education ka vikas hoga?

Aise bahot se sawaal hai jo har Hindustani sarkaar se puch raha hai; lekin jawaab ke badle use taane, dande aur dhamkiya mil rahi hai.

Kuch aisi baate bhi hai jinhe uthana zaruri hai:
  • We kaun log the jo Anti India naarebaazi kar rahe the? Kya itna bada program organize karne walo ki khabar Police ko nahi mili? Agar mili thi, to kya ise pehle daur me rokne ke liye kya karyawahi ki gai? Aise naaro ko aur aise vicharo ka sab ne mil kar virodh karna chahiye aur Police aur sarkaar ko inhe fauri taur par giraftaar karna chahiye
  • In sab ke beech, students leader Kanhaiya Kumar ko kis buniyaad par giraftaar kiya gaya? Kya college me galat activity hogi to leader ko utha liya jaaega? Iska matlab, agar Modi ji ke Gujrat CM rehte wahan dange hue to unhe doshi bata kar un par isi tarha karyawahi hone chahiye thi!!
  • Indian court ki garima aur samman ke khilaaf court parisar me hungama karne wale wakilo aur sangh ke karyakartao ke khilaaf bhi sakht se sakht karyawahi hona chahiye
  • Jo police waale wahan tamasha dekh rahe the unka suspension hona chahiye
  • JNU, jo ki desh ka ek prathishtith educational institution hai, iski badnaami me jo koi bhi afwaah udaae, uspar bhi karwahi ki jaae
  • Desh ki universities me HRD ministry ko zarurat se zyada dakhal dene se rokne ke liye bhi kade qanoon banae jaae. HRD ministry un colleges aur universities ko khuli choot deti hai jinhe deemed university bana kar khule aam dhokadhadi aur loot machai ja rahi hai. Lekin un colleges me jahan intellectuals apne hunar ki wajah se pahuchte hai, waha kade pratibandh lagae jaate hai.
Aise muddo par awaam ko aage aa kar sarkaar se jawaab darkaar hai.
Iske chalte, Mazhabi log apne aap ko in sab se achuta rakhte hue is pure hadse ko ek siyasi khel batate hue side me baithe hue hai. Yeh jaante hue ki agar desh ka bhagwakaran ho gaya to isse mazhab bach nahi sakta. Kuch log to firkawariyat ki chadar odhe hue Sangh aur BJP ko apna dost bata kar dusre firke ko aag me fekne ka kaam kar rahe hai. 

Aur wo mazhab, jiski buniyaad me zulm ke khilaaf awaaz uthana likha hua hai aur jo saari duniya me zulm hone par apni duty samajhte hue har waqt khade hota hai; aaj jab Hindustan me zulm ke khilaaf khade hone ka waqt aaya to hairan aur pareshan hai ki kuch kiya jaae ya kuch nahi kiya jaae. Maano jo ho raha hai usse humara koi sarokaar nahi hai.

In sab ke chalte awaam media channels ki bhet chad rahi hai aur corporates apne faeda dekhte hue sarkaar ki jai jai kaar kar rahe hai; aur desh ka satya pit raha hai. Ek taraf market apne nichle star par hai, rupye ki qimat kabhi isse zyada niche nahi giri, mehngai itni ki garib bhooke pet so raha hai aur kisan aur students suicide kar rahe hai… aur sawaal yeh uthta hai ki hum kya kar rahe hai?

Agar aaj galat chiz, galat ideology aur batil ke saamne nahi khade hue to kal aane wali nasle hume maaf nahi karegi. Aaj apni jaan ki parwaah kar ke agar hum gharo me baithe rahe to kal yehi dushman gharo me ghus kar aise khoon kharaba karega ki na Mandir, na masjid, na girja aur na gurudwara amn ki jagah ban sakege.

Agar humare bade khamosh hai to unhe jagao.. Agar nahi jaagte to khud bahar niklo aur sachchai ke juloos ka hissa bano. Agar bahar jaane me adchane hai to Social Media ka istemaal karo aur apni awaaz unchi uthao… Lekin yaad rakho ki aaj khamoshi khud apne saath aur apni matrubhumi aur apne pyare Hindustan ke saath gaddari hai… aur yeh gaddari maafi ke layaq nahi hai.

Lekhak: Abbas Hindi

1 comment:

  1. aisa lagta h desh bhakti ka theka bjp Rss abvp or bajrang dal ne le rkhi h .hamari congess ke diggaj neta log to desh ko fir se gulam banane ki taiyyari kr rhe h.rahul gandhi ko to har jagah rajneeti karni jaruri hoti h . modi ji se ladte ladte rahul desh virodhi ban chuke h aatank wad ko rahul gandhi badhawa ke sath sath panah bhi de rha h .hamari media bhi desh ke gaddaro ko achcha bol rhi h .akele modi ji kitno se ladenge ab to pura desh ke logo ko ek hokr ladne ka samay aa gya h.mai to bs itna janta hu ki.....
    ...
    jinko pyara pakistan wo jayega kabristan ..
    .
    jai jai shree Ram

    ReplyDelete

विशिष्ट पोस्ट

Pope Francis ki Ayatollah Sistani se Mulaqat

6 March 2021 ka din duniya ke do bade mazhabo ke liye ek khas raha jab Christians ke sabse bade religious authority, Pope Fra...