Breaking

Saturday 2 January 2016

Sheikh Baqir An Nimr ki shahadat aur Aaj ke Musalmaan


Saudi Arab ke mashhur aalime deen aur activist Sheikh Baqir An Nimr jine Saudi Arab ne 2 January 2016 ko begunah fasi ki saza de kar Shaheed kar diya; we Saudi Arab ki ek jaani maani hasti the.

Sheikh Baqir An Nimr 1968 me Saudi Arab ke East me maujood Al-Katif area ke Al-Awamiya shahr me paida hue the. Bade hone par shuruwati padhai unhone Al-Awamiya shahr me hasil ki aur 1989 me Iran me inqelaab ke baare me zyada jaankari paane ke liye Iran ka safar kiya aur Tehraan k eek madresse me deeni taleem hasil karne lage.

Sheikh Nimr ne das saal tak Tehran ke deeni madresse me taleem hasil karne ke baad Syria ka safar kiya aur waha aage ki padhai jaari rakhi.

Unhone Tehran aur Syria me deeni taleem hasil karne ke dauraan bade baade olemao se ilm hasil kiya.


Unhone Saudi Arab wapsi ke baad Hazrat Qayam Madresse ki buniyaad daali aur saal 2011 me Islamic Center shuru kiya.

Sheikh Baqir An Nimr ko pehli baar saal 2006 me Saudi Police ne hirasat me le liya. Unhe Bahrain me Quraan Festival me bhag lene ke baad wapsi ke waqt Saudi Arab me hirasat me le liya gaya tha.

Un par ilzaam tha ki is festival me unhone, Jannatul Baqi ki tamer aur Saudi Arab me Shia community ko recognition diye jaane ki maang kit hi.

August 2008 me Sheikh Baqir An Nimr ko dobara giraftaar kiya gaya. Is baar un par ilzaam tha ki unhone Saudi Arab ke Shia community to Sarkaar ke khilaaf bhadkaane ki koshish ki hai lekin Shia musalmano me badhti narazgi ke wajah se unhe 24 ghanto ke baad riha kar diya gaya. Lekin March 2009 me unhe phir giraftaar kar liya gaya.

Asl me Sheikh Baqir An Nimr hamesha apni taqriro me Saudi Sarkar ki khas kar eastern areas me government ke sautele bartaw ke wajah se shikayat karte the. We hamesha kaha karte the ki sachchi baat kehne me unhe dar nahi lagta bhale hi unhe jail me dala jaae ya maut ki saza di jaae.

Who kehte the ki Saudi Media, mufti aur olema Sarkar ke hatho bike hue hai aur yeh sab mil kar, Saudi Arab me Shia Sunni matbhed paida kar ke rajashahi ko jaari rakhne ki koshish kar rahe hai.

Baar Baar giraftaar kiye jaane aur taklife diye jaane ke bawajood Sheikh Nimr ne hamesha Saudi Sarkar ke zulm ko bura kaha aur kehte the ki aakhri saas tak we Saudi Arab ke logo ke haq ke liye ladte rahege.

Afsoos ke aaj Sheikh Baqir An Nimr ki Shahadat ki khabar bade hi hairatangez tariqe se momenin ko mili.

  • Aaj humara paigham hai Yahudi Saudi Hukmarano ko.. tum log kuch logo ko Shaheed to kar sakte ho lekin humari fikr ko khatm nahi kar sakte.
  • Yazid (la) ne bhi Imam Hussain (a) ko Shaheed kiya tha… Lekin Imam Hussain (a) aaj bhi zinda hai aur Yazid (la) ka naamo nishan nahi hai.
  • Hum Imam Hussain (a) ke chahne wale shahadat ko bahot pasand karte hai aur maut se darte hai. Lekin tum logo ne ye sabit kar diya ki tum aaj Yazidiyat ki raah par ghamzan ho.
  • Hum hamesha haq aur insaaf ka saath dete rahege aur apne khoon ki aakhri boond tak ladte rahege.
  • Humari raah “Hai Haath Minnaz Zillah” ki raah hai… Hum kabhi zillat ke raaste par aur zulm ke saamne tasleem nahi hone waale.
  • Maut se hume nahi daraya ja sakta… Maut to Momin ko raahe Hussain (a) se mila deti hai.
  • Saudi Hukumat ne ye kaam us waqt kiya hai jab Iraq me Ramadi ISIS ke chungal se aazad hua aur ek bade aatanki leader Aroush ki maut hui
  • Saudi ne phir ek baar sabit kar diya ke uska ISIS aatankwadiyo ke saath kitna gehra rishta hai
  • Sheikh Nimr ki shahadat bata rahi hai ki Syria aur Iraq me ISIS ke nuksaan se Saudi Arab ko kitni thes pahuchi hai
  • Saudi ne kabhi Israel aur America ke khilaaf ek lafz tak nahi bola hai lekin bekas aur lachar Musalmano par apni dhos jamate rehta hai. Gaza par Israel ke zalimana hamle ke dauraan Saudi Arab ke mu se ek lafz tak nahi nikla tha
  • Yemen aur Bahrain me Saudi hamlo ne hazaro begunah Musalmano ki jaane li hai
  • Saudi aaj Musalmano ka khula hua dushman hai; jis tarah se Yemen me Shia Ansarullah aur Shafai Sunniyo ki jaan le raha hai aur lakho logo ko beghar kar raha hai
  • Ye wohi Saudi Arab hai jisne apne aap ko isi saal ke Hajj ke baad mubarakbaad pesh ki thi… jabke Hajj me bhagdhad machne ki wajah se hazaro Hajiyo ki jaane chali gait hi
  • Duniya me lagbhag har ek aatankwaadi ko isi Saudi se paise milte hai
  • Aatankwadiyo ki salafi soch ko khadan bhi Saudi Arab se hi panapti hai
  • Jaha ek taraf yeh Saudi khul kar Yemen aur Bahrain me Musalmano par hamle kar raha hai.. wahi dusri taraf Syria aur Iraq me aatankwadiyo ki madad kar raha hai. Lekin isne kabhi Israel aur America ko bura nahi kaha
  • Saudi baadshah hamesha se American government ke wafadaar rahe hai
  • Is jurm me Saudi akela nahi hai… Is jurm me America aur Israel ke bhi haath range hue hai
  • Allah ki lanat ho Aale Saud par aur unke maai baap America aur Israel par
  • Hum aaj awaaz dete hai tamam Musalmano par ke wok hade ho is American pittu regime ke saamne.. Musalmano ko is najasat se nijaat leni hi hogi… Wo najasat jo Musalmano ko ek dusre se todne aur firqo me baatne ke piche lagi hui hai aur apne maai baap, America aur Israel ke hukm par kaam kar rahi hai.
  • Aaj sabhi momenin ka fariza hai ki wo Saudi hukumat ke khilaaf khade ho aur unhe aur unke maai baap ko khilaaf ehtijaaj darj kare.


#AaleSaud are #AaleYahood

4 comments:

  1. Saudi hukumat ki barbadi ka waqt anqareeb hai. Jo Amrica aur yahudiyon k hatho biken hain. Zulm ka jald se jald khatma hoga

    ReplyDelete
  2. Ibne zyad jo yazidi lanati tha jisne zikre ali(as) k wajah s misam e tammar o sulhi p chadake zaban band karae aur aaj yahi zalim yazidi aaj k 47 misam e tammar ko sulhi p chadake chup kara diya.... Har ali wale ki zaban musam e tamar h.. kat to sakti h magar lilam hi sakti nae

    ReplyDelete
  3. मेरे भाइयो में एक सुन्नी फिर्के से हूँ पर में इस फिर्कावाद का खिलाफ हूँ मेरे मुस्लिम भाइयो क्यूँ न हम सब एक उम्मत एक ताक़त बन जाये और अपने हकीकी दुश्मनों को पहचान जाये और उन के मुकाबले में खड़े होकर ख़त्म कर दे इन दुश्मनों को और ऐसा करने क लिए हमें सब से पहले खुद अपने आप से ही लड़ना होगा अपने अन्दर की बुराइयों से लड़ना होगा तब ही अल्लाह की मदद आएगी हमारे लिए वरना मेरे भईय्यो खोखला वुजूद लेकर हम कभी आगे नहीं बढ़ सकते..!

    ReplyDelete

विशिष्ट पोस्ट

Pope Francis ki Ayatollah Sistani se Mulaqat

6 March 2021 ka din duniya ke do bade mazhabo ke liye ek khas raha jab Christians ke sabse bade religious authority, Pope Fra...