Breaking

Thursday 26 November 2015

Bharat me badhti asahanshilta ka mamla. Sach kya hai?



 
Dil ki baat kare to yeh baat sab jaante hai ki kendra me sarkaar badalne ke baad se bahot si aisi ghatnaye ghati hai jisse yeh saaf dikhai deta hai ki samaj kuch to aise tatwa hai jo sarkaar badalne ka faeda utha kar khule aam aise kaam karne ke liye utaaru hai jisse desh ke alpsankhyak / dalit / pichde varg ke logo ke dil me ek tarah ka dar sama jaae. Ise sabit karne ke liye agar hum sirf June 2014 se aaj tak ki timeline dekhe to sab kuch saaf saaf dikhai dene lagega. 

  • Pradhanmantri Modi ke aane ke baad se 300 dino ke bhitar jatiya dango ke 600 se zyada case darj kiye gae jisme 43 logo ne apni jaane gawai. Inme se 149 dange Christians aur baki ke Musalmano ke khilaaf hue 
  • Assam me tribal political group ke dwara 108 Musalmano ka jansanghar hua
  • Orissa, Karnataka aur dusre rajyo me church ka toda jaana, Christian padriyo aur nun ke sath bura bartav, aagzani aur alag alag tarah ke chote mote hamle hona
  • Uttar Pradesh me beef khane ki afwaah par mandir se announcement hona jiski wajah se gussai bheed ka "Akhlaq" naam ke aadmi ko pit pit kar jaan se maar dena 
  • Ek dalit parivar ka mandir me pravesh karne se gussai bheed ka un par hamla karna jiski wajah se do masum bachcho ki maut 
  • Bihar elections se dauran BJP netao dwara bahot se aise bayanaat jaari karna jo desh ke taane baane ke liye khatra ho sakte hai
  • Aur bahot si ghatnae.

In sab ke bawajood, central government aur Pradhan Mantri ki taraf se aisa ek bhi bayan nahi aana jo in ghatnao ka khandan kar rahe ho, is baat ko sabit karta hai ki sarkaar ko desh me badhti aisi wardaat se koi sarokaar nahi hai.

Iske ulat Kendra sarkaar ka bayan ki yeh sab ghatnaao ko control karna Rajya Sarkaar ki zimmedari hai, ek ghair zimmedarana jawab hai.

Aaj agar kisi se bhi pucha jaae ki “asahanshilta shikayat kisse hai?”; to har koi jawab dega ke un asamajik tatwo se jo kisi jaati, dharm / mazhab ya samaj ke khilaaf kisi bhi prakar ki galat dharna apne dil me rakhte hai. Koi yeh nahi kahega ki desh me rehne wala aam insaan asahanshil ban gaya hai.

Asahanshilta ka mahol us samay failta hai jab humare bich panapne wale asamajik tatwo ko yeh bharosa ho jata hai ki unke bure kaamo par koi sawaal uthane wala nahi hai. Jab sarkaar ke MLA aur MP bhadkau bayanbaazi se nahi bachege to gali ke gunde mawali bhi samaj me apni dadagiri failane se piche nahi hatege.

Aaj yehi ho raha hai. Janta ke chune hue yeh MLA aur MP Yogi Adityanath, Sadhvi Niranjan Jyoti, aur dusro ke rup me sadan aur media me bhadkau bayanat de kar samaj ka mahol kharab kar rahe hai.

Isse gali mohallo me rehne wale gunde mawaliyo ko dharm ke naam par Sarkar ke diye hue muddo par dusre samaj / jaati ke logo ke khilaaf gundagardi karne ka mauka de rahe hai. Aur isi ko asahanshilta kaha ja raha hai.

Agar aap is jhase me nahi pad rahe hai aur desh me bhaichare ka mahol chah rahe hai to aap sahanshil hai aur aap jaise logo ko hi aage badkar asahanshil logo ko control karne ki zarurat hai.

Media ke uthae har mudde par whats app / facebook post banakar forward karna ya saamne se aae hue post ko forward karne se mudde hal nahi hone waale. Hum sab bhartiya hai aur hume saath hi rahna hoga aur in galatfahmiyo ko dur karna hoga.

Saath hi hume yeh koshish bhi karni hogi ki wo asamajik tatw jo samaj ke taane baane ko bigadne ki koshish kar rahe hai unke khilaaf bhi sakht kaarwayi ki jaae taaki aane wala samay hum sab ke liye ek sukhi aur samruddh pal le kar aae; na ke dange aur khoon kharaba.

Lekhak: Abbas Hindi

No comments:

Post a Comment

विशिष्ट पोस्ट

Pope Francis ki Ayatollah Sistani se Mulaqat

6 March 2021 ka din duniya ke do bade mazhabo ke liye ek khas raha jab Christians ke sabse bade religious authority, Pope Fra...