Breaking

Tuesday 20 October 2015

Muharram ki Fariyaad!

Har saal Muharram duniya ke sabhi hisso me badi dhoom dham se manaya jaata hai aur momenin hazraat isme badh-chad kar hissa lete hai. Bahot se ilaaqo me sirf Shia log hi Muharram nahi manate balki Sunni hazraat aur kuch ilaaqo me to Hindu aur Christen log bhi isme hissa lete hai. Isi simt me ek shair ne do misre khub kahe hai:

Dare Hussain par milte hai har khayal ke log,
Ye ittehaad ka markaz hai aadmi ke liye”

Lekin bade afsoos ki baat hai ki ye amn, shanti aur adl ka paigham dene wala Muharram tafreqe aur tashaddud ki buniyaad bana diya gaya hai. Har mimbar se ek dusre ke khilaaf aag ugli jaati hai aur is aag ugalne ko apna buniyaadi haq bata kar har dusre shaks ko jahannumi aur haram ki aulaad sabit kiya jaata hai.

Teesri Muharram ki shab me ek gali se guzar hua jahan par Deobandi hazraat ka Muharram ke silsile me bayan chal raha tha. Maulana sahab bade darde dil se har us qaum ko, jo unki baat ko ya unki fikr ko nahi maanti use gumraah pukaar rahe the aur dua bhi kar rahe the ki Allah unhe sahi raah batae. Isme unhone sirf Shia Hazraat ke khilaaf hi zahar nahi ugla balki Barelvi Sunni hazraat ke khilaaf bhi khoob bayanbaazi kari. Jab se mai Mumbai aaya hu, har saal dekhta hu ki ye Maulana Sahab apne bayanaat ko apne saamein ke liye nahi balki bazu se guzarne waale Shia afraad ke liye zyada padhte hai aur bahot khari khoti sunaate hai. Kya yehi Muharram ka taqaza hai?

Yeh to guftagu ka ek pehlu tha… iska dusra pehlu bhi hai. Usi Muhalle me Shia hazraat ka ImamBada hai jaha ek zakir majlis padte hai. Apni majlis ke pehle hisse me wo apni khud ke aqaed ki wah wahi karte aur sath me dusro ke aqaed ki dhajjiya udaate nazar aae. Is sab ke dauraan wo Maulana sahab apne jaisa aqeeda rakhne walo ko jannati aur baki sab duniya walo ko jahannumi; yaha tak ke haram ki aulaad bata diya.

Kya Muharram isi liye hai ki apne aap ko dusro se behtar sabit kiya jaae aur dusro ko jahannumi?

Ek aur shia majlis, jo ki qareeb ki masjid me hoti hai, jaha bahot mashhur aur buzurg majlis padhte hai, usme unhone kaha ki ek dusre communities ko tanj aur taunt karne se mamla suljhega nahi balki aur bigdega. Logo ko haq se aashna karana bahot zaruri chiz hai, aur is raah me bahot se mauzu aise bhi aate hai jisse logo ka dil dukh sakta hai. Aise mauqe par Parliamentary tarze guftagu ko ikhtiyaar karna har qaum aur zakir ka fairza hai.

Baat bahot behtarin hai lekin agar halaat ka jaeza le to pata chalta hai ki sabhi zakerin ki rotiya tafreqe ke chulhe par hi seki ja rahi hai. Zakerin aisa content is liye dete hai ki awaam ko aisi chize pasand hai. Agar tafreqa bazi se hat kar majlis / bayan hota hai to log bahot kam jama hote hai aur aise me zakir / maulavi ki aamdani par khasa asar padta hai.

Muharram ki haqiqat par nazar daale to pata chalta hai ki paigham-e-muharram saari insaniyat ke liye hai. Is paigham ko kisi khas community / maktab se mukammal tariqe se jod dena na-insafi hogi. Lekin zamini haqiqat ye hai ki har qaum apne aap ko Muharram aur Imam Hussain se mukammal taur se jode rakhna chahti hai aur har dusri qaum ko uska mukhalif batati hai.

Jo bhi Muharram ko kisi qaum / qabile / mulk / nasl me bandhne ki koshish kare, usne haqiqat me paigham-e-karbala samjha hi nahi hai. Iske barkhilaaf, wo shaks is paigham ka mukhalif hai. Is amn ke paigham ko do sikko me bechne wale zakerin; bhale wo kisi bhi maktabe fikr se ho; is azeem nemat ka kufrane nemat kar rahe hai aur yaad rakhe ki iski un sabhi logo se zabardast puch ki jaegi.

Karbala mazloom ki sada hai; ek aisi sada jo us waqt ke logo ne ansuni kar di thi; jabki wo logo ki bhalai ke hi liye thi. Aur aaj bhi kuch mafaad parast logo ki wajah se ye sada mazloom hai. Karbala aaj hum se sawaal kar rahi hai… kya hum us paigham-e-amn ko sahi me samajh paae hai?

Imam Hussain ne to har fikr aur mazhab ke logo ko apne paigham ki taraf dawaat di thi. Phir wo Christen Jaun ho ya teesre Khalifa ke manne wale Zohair, ya khud Yazeedi fauj ke sipehsalar Hur.. Paigham Hussain sabhi ke liye ek khule darwaaze ki manind hai. Phir hum kyu is paigham ke darwaaze ko dusro par band karne par fakhr mehsus karte hai?

Ye sawaal us waqt tak hota rahega jab tak hum sabhi is firqawariyat wali soch se apne aap ko aazaad nahi kar lete aur dusre logo ko is paigham ke liye khule dil se dawaat nahi de dete jaisa ki Imam Hussain ne kiya tha.

Paigham-e-Hussain hume bhi apni taraf dawat de raha hai ki “Ae Hussainiyo, utho aur us amn ke paigham ko saari duniya ke liye aam karo jiske liye Imam Hussain ne apne ahlo ayaal ke sath apni jaan ki qurbani de kar ise hum tak pahuchaya hai”.

Kya hum Muharram ki is aah ko sun pa rahe hai? Kya Muharram humari wajah se hame ghamgheen nazar nahi aa raha?

Aaiye Muharram aur paigham-e-Imam Hussain ka thoda sa haq ada kare. Aaiye duniya ke logo ke sath muhabbat kare. Aaiye is duniya ko jeene ke liye ek behtarin jagah banae.

Tehrir: Abbas Hindi

2 comments:

  1. Salam..
    Bahut khoob likha hai aapne...
    asl wajah ikhtelaaf ki ye maulvi jinke paas koi ilm nahi hota aur directly, indirectly Zionist ke kam karte rehte hain..chahe wo koi maslak ya fiqh ka kyun na ho...
    Kuch paise ke khatir karte hain aur kuch apne bade mafad ke liye karte hain...
    Ek maslak ke log pure saal bhar kuch se kuch kehte hain, kafir sabit karne me lage rehte hain..aur dusre usse pure moharam me defend karte hain aur unhone kharij karne lagte hain...
    jisme jo haq hai,uski koi baat nahi hoti...
    Aur ye kaam zionist ke kuch paid puppet karte hain aur unke shagird uske hawa dete hain...
    Awam ko ab ache student ko maulvi ke liye bhejna chahiye....ache allim ko bulwana chahiye...agar wo kahin pad rhe hain toh uska internet ke zariye live telecast ho sakta hai...
    Wasalam..

    ReplyDelete
  2. bout achche....... khoob. .... umda

    ReplyDelete

विशिष्ट पोस्ट

Pope Francis ki Ayatollah Sistani se Mulaqat

6 March 2021 ka din duniya ke do bade mazhabo ke liye ek khas raha jab Christians ke sabse bade religious authority, Pope Fra...