Aaj duniya tezi
se badal rahi hai aur is tezi me roz ba roz pechidgi aa rahi hai. Is pechidgi
ki had itni uchai par hai ki aam insaan ke liye ise samajhna aasan nahi. Sirf hindustaan
ke halaat hi nahi balki puri duniya ke halaat ek jaise hai. Har taraf zulm aur
jaur fail raha hai aur insaniyat amn-o-chain ke liye taras rahi hai.
Agar duniya ki
taraf nazar kare to halaat bad se badtar dikhai dete hai. Khususan musalmano
aur muslim mamalik ke halaat kuch zyada hi taklifdeh hai. In mamalik me sare
fehrist Filistin, Syria, Iraq, Yemen, Lebanon, Libya aur Bahrain aate hai; jaha
insaniyat ko jhagjhor kar dene wale mazalim dhae ja rahe hai.
Dekhne wali baat
ye hi ki ye mazalim kaun kar raha hai, iske piche kya maqsad chipe hue hai, asl
me iske piche kaun hai aur is sab me Musalman ka kya kirdar hai.
Agar ham aalami
satah par nazar daale to Zulm karne walo me sabse upar Israel nazar aata hai;
jisne apne aap ko qayam karne ke liye lakho Filistiniyo ko na sirf khud unke
watan se bahar kiya, balki aaj tak un par kai bahano se ek ke baad digar hamle
kar ke logo ki jaan le raha hai. Pichla Maahe Ramzan hame yaad hoga jab Israel
ne taqriban do mahino tak shaded bambari kar ke kai masumo ki jaane li thi.
Apne najayaz
wujud ko jayaz sabit karne ke liye Israel kai tarah ke hile bahano aur tariko
ka istemaal karta hai jisme se Media sab se upar hai. Discovery channel par
khas programs dikhae jaate hai jisme Israel ke weapons aur technology ko aise
bataya jaata hai ki duniya me kisi ke paas nahi hai. Iski bina par aaj ki nasl
Israel ko hathiyaaro aur technology ka markaz samajhne lagi hai; jabki Israel
khud apne hathiyaaro ki test aur research America ki madad se karta hai.
Israel ke pass
khud ko baqi rakhne ke liye zaraae itne kam hai ki America se use roz ka 7
Million Dollars madad ke roop me lena padta hai aur Hathiyaaro ke banane ka
kharch bhi wahi se milta hai.
Is sab se sath,
Israel itna darpook aur sahma hua rahta hai ki koi chiz hone ke pehle hi chizo
ko apni taraf karne ki firaaq me rehta hai, jiske natije me Israel ke padosi
mulk ki awaam use bahot zyada nafrat karti hai. Is nafrat ke natije me bahot se
aise groups wujud me aae jinhone apna pehla fariza Israel ka khatma qarar diya
hai.
Jo bhi fard ya
giroh Israel ke khilaaf kaam karta hai, wo aaj ki tarikh me Israel aur America
ka sabse badha dushman hai. Aise giroho ko “Moqawamat” ya “Resistance” ke naam
se jana jaata hai. Is Moqawamat ki rehbari Jamhuriye Islami Iran kar raha hai.
Iran ke sath sabse aage Lebanon ke Hizbullah ka naam aata hai jinhone Israel ko
san 2000 me bina kisi shart aur baat ke apni zameen se khaded kar bahar kiya
aur san 2006 me 33 dino ki jang me baghair kisi bahari madad ke lohe chaba
diye.
Iske baad
Filistini giroh Hamas aur Islamic Jihaad ka naam aata hai jo har waqt Israel se
sidhe jang ki halat me rehte hai. Ye Giroh Filistine ke Gaza naami ilaaqe se
operate karte hai, Gaza wahi jagah jo Israel ki charo taraf se gherao me hai
aur Israel apne ladaku jahazo se waha hamesha hamla karte rahta hai.
Hizbullah aur
Hamas ko bahari support Syria se Bashar-al-Assad ki hukumat kar rahi hai, aur
isi ki bina par America, Israel, Britian aur inke sathi Asad ki hukumat ko
girana chahte hai. Isi wajah se unhone ISIS ko wujud me laya aur aaj sari
duniya me jiski wajah se Islam ka naam kharab kar rahe hai.
In sab ke saath
Yemen ka Resistance giroh “Ansaarullah” bhi is fehrist me shamil hai jispar aaj
Saudi Arab ki fauje dusre Arab mamalik, America aur Israel ke sath mil kar
hamla kar rahi hai.
Aalami siyasat ke
is jaal me Israel ek Shaitani markaz ki haisiyat rakhta hai jiske khilaaf
Moqawamati giroh Iran ki sarbarahi me apni zameen, izzat aur waqat ki hifazat
kar rahe hai.
Agar ham tarikh
me ja kar dekhe to pehle World War ke baad jab Usmania Khilafat tuti, us waqt
Middle East me maujood sabhi Arab Mamalik wujud me aae. In sab par Angrezo ne
apne pittuo ko hakim banaya taki ye log kabhi inke khilaaf awaaz buland na kar
sake. San 1948 me Israel banne ke baad in Arab mamaliko ne naam bhar ke liye
Israel ki mukhalifat ki aur mauka milte hi Israel se haar maan kar use muhaaeda
kar liya jisme Egypt aur Jordan sabse aage nikle.
Aaj jab Yemen me
Ansaarullah ko awaami maqbuliyat hasil hone ke baad Saudi ke chune hue
president, Hadi Mansur, ko logo ne bahar ka raasta dikhaya to Saudi ne inhi
tamam piththtu mamalik ki madad se Yemen ke masum logo par hamla kar diya.
Iske dusri taraf
Iran har us giroh ki khul kar madad kar raha hai jo Israel aur uske sathiyo ke
khilaaf kaam kar rahe hai. Iske badle me Iran par aalami taqato ne ek sath mil
kar shaded pabandiya (Sanctions) daale, yaha tak ki Iran ko apna oil aur gas
bechne par bhi pabandiya laga di. Lekin Ayatullah Khamenei ki rehbari me Iran
aur Irani awaam ne zalim taqato ki ek na chalne di aur duniya ko bata diya ki
ham hamesha mazloom ke sath rahege aur zalim ke khilaaf.
Islami inqelaab
ke baani, Imam Khomeini (r.a) ne duniya ke Musalmano ko tamam mazlumin ki
himayat me awaaz buland karne ke liye Mahe Ramzaan ke aakhri Jume ko, jine ham
Jumatul Wida kehte hai, Yaum-e-Quds manane ki dawat di hai. Is roz saare aalam
me, na sirf Muslaman balki gair Muslim bhi mazlumin ke support me rasto par aa
kar aalami taqato ke khilaaf apne gham aur gusse ka izhar karte hai.
Aalami taqate aur
unke sathi mamalik aaj ke daur me ho rahe uthal puthal ko Shia Sunni jhagde ki
shakl me pesh karne ki koshish me lage hue hai. Kabhi wo Iraq me ho rahe awaam
aur ISIS ke bich ki jang ko Shia Sunni ladhai keh kar bulate hai; to kabhi
Yemen par hue Saudi hamle ko; kabhi Syria me ho rahe Assad hukumat aur ISIS ki
ladhai ko Shia Sunni jang ka naam dete hai. Aisi surat me hame dekhna hoga ki
in sab ke piche kya maajra hai.
Agar dhyan de kar
dekha jaae to in sab maslo me ek taraf wo giroh shamil hai jo aalami taqato aur
unke sathiyo ke khilaaf Moqawamat (Resistance) kar raha hai aur dusri taraf
aalami taqat ya unke piththu maujud hai. Iraq me ISIS inhi aalami taqato ki
banai gai ijaad hai wahi Syria me bhi wahi haal hai. Yemen me Ansarullah awaam
ki taqat hai to Saudi America sahare se in par jabran apna chuna hua president
thopne ki zid par ada hua hai.
In sab se ye saaf
zahir hai ki aalami satah par ladhai Shia Sunni ki nahi hai balki ladhai
Resistance aur Anti-Resistance forces ke bich chal rahi hai. Aise me hamari
zimmedari banti hai ki Hindustan aur apne shar / gao ki satah par koi aisa kaam
na kare jisse apas me tafreqa ho. Sath hi hame koshish karte rehni chahiye ki
amn pasand logo ke bich, bhale hi wo kisi bhi maslak ya mazhab se ho, baatchit
aur milne julne ka daur chalta rahe.
Allah ham eek aur
nek banne aur ek sath mil kar dushman ka muqabla karne ki taufiq ata kare aur
Moqawamat ki aalami rehbatiyat ke batae hue nakshe qadam par chalne ki taufiq
de.
No comments:
Post a Comment