20wi sadi aane ke sath hi
insaan development aur tarraqi ki raaho par aage badhta dikhai dene laga. Har taraf
machine aur factories nazar aane lagi aur maano jaise duniya me har tarah ka
samaan banane ki hod si lag gai. Bazaar me nai chize aane lagi aur insaan jaise
aasmano me udne laga.
Is taraqqi ke sath sath kuch
aur chize insaano ko tohfe me mili, aur wo thi jang, ladaiya aur hathiyaaro ki
hod. Is jang me har wo insaan shamil tha jo apne aap ko aaram me dekhna pasand
karta tha. Jang to dekhne me Europe se shuru hui aur dhire dhire puri duniya me
fail gai. Lekin Japan se lekar America tak rehne wale sabhi log is jang ka
hissa ban gae. Yaha tak ki Africa ke jungalo me rehne walo ko bhi is jang ka
khamiyaza bhugtana pada.
Is dauran do badi jange
ladhi gai jinhe World Wars ke naam se jana jata hai jisme qarib qarib 5 crores
logo ki jaane gai aur na jaane kitne hi log ghayal aur apahij hue. In jango ki
wajah sirf ek hi chiz thi aur wo hai duniya ki lalach aur zyada se zyada ilaqe
ko apne kabze me karne ki hod. World war khatm hone ke baad sard jang (Cold
War) shuru hoti hai jisme East (Russia) aur West (America) ek dusre ke khilaaf
tarah tarah ke hathiyaar banana me lag jaate hai jisme nuclear weapons ka bhi
shumaar tha.
Russia apna dabaaw
badhane ki hod me Afghanistan aur dusre mulko par kabza karne ki firaaq me tha.
Sath hi bahot se Arab mulk Russia ke communist ideology ko apna kar khud ko
Bathi (Communist) ghoshit kar chuke the, jinme Iraq aur Syria shamil the. Dusri
taraf America apne kabze aur pakad ko banana ke liye kai mulko me civil war
karwa kar wahan bichbachao karne ke bahane andar ghus raha tha, jisme Korea aur
Vietnam shamil hai.
Inhi afra-tafri aur jango
ke bich san 1979 me Iran naam ke ek desh se ek awaaz gunjti hai: “La Sharkiya,
La Gharbiya… Islamiya Islamiya” (Na mashrik bada hai, na maghrib bada hai… sirf
aur sirf Islam sabse bada hai). Ye sada ek 80 saal ke budhe shaks ne lagai thi
jise aaj duniya “Imam Khomeini” ke naam se jaanti hai.
Zamane ke aise halaat me
jab insaaniyat raham aura dl ke liye taras rahi thi, insaan maano darindo ki
manind ek dusre ke khoon ke pyase the, na kisi par raham kha raha than a hi
kisi se koi umeed bachi thi. Aise halaat me adl aur amn ki chingari ek aise
ilaaqe se jail jise sarzameene Iran kaha jata hai. Is awaaz me aisi khanak thi
ki batil ke pairo tale se zameen khisakne lagi aura as khote haq ko maano ek
nai jaan milne lagi.
1979 me Imam Khomeini
(a.r) ki sarparasti me Iran me ek Islami Inqelaab aaya jiski wajah se waha par
2500 saal purani Shah ki hukumat gir gai aur ek Islami Jamhuri ka aghaaz hua.
Is inqelaab ki sab se aham baat ye hai ki yeh Inqelaab logo ko jhoot, zillat,
zulm aur nainsafi se nijaat dila kar haq, izzat, adl aur insaaf ki raah par
aage badhata hai. Jaha ek taraf duniya ki badhi taqate logo ko ghulaam banakar
unka khoon chusne ko apna haq samajhti hai, wahi Islami inqelaab in kamzor logo
ko apna haq wapas kar ke unhe is maqam par pahuchata hai ki wo amn aur chain ki
zindagi jeete hue apne khaliq aur malik tak pahuch sake.
Islami Inqelaab ki wajah
se Iran par bahot si pabandiya daali gai lekin Imam Khomeini ki leadership me
Iran ki awaam ne pabandiya kabul kar li lekin zalim taqato ke samne jhukna Kabul
nahi kiya. Iran ke Zalim baadshah, Reza Shah, ke zamane me yehi awaam mazloom
bani baithi thi aur Iran America ki kathputli tha. Islami Inqelab ne Irani
awaam ko apni izzato-Waqar wapas karte hue is eek baizzat qaum bana diya jiski
misaal aaj puri duniya me nahi milti.
Islami Inqelab ne na sirf
Iran ko balki puri Shiat ko ek aisi izzat se nawaza hai jo duniya ke samne ek
namuna hai. Sirf Musalmaan hi nahi balki har insaan aaj Iran ko ek misali mulk
ki manind dekhta hai. Agar duniya me kahi bhi zulm hota hai aur mazloom ka agar
koi sath nahi deta, us mazloom ko zarur ye aas rahti hai ki Iran zarur hamari
madad karega ya hamare haq me awaaz uthaega. Aur in mazloomo ki umeed ko pura
karte hue aur apne pehle imam, Imam Ali (a) ki wasiyat, jisme Imam (a) ne kaha
hai ki hamesha mazloom ke sath raho aur zalim ke khilaf, is par amal karte hue
Iran ne har mazloom ka sath diya hai – chahe wo Shia ho, ya Sunni, Musalman ho
ya ghair Muslim. Hamare saamne kai misale hai jaise Palestine, Burma ke
Rohingya Musalmano ka masla, Pakistan ke halaat, Syria aur Yemen ke halaat,
America me ho rahe nasli hamle, wagairah.
Yehi wajah hai k iaaj
maghribi mulk mil kar Iran ko nuksan pahuchane ki firaaq me hai. Yeh log asl me
Iran ken ahi balki Islami Nizaam ke dushman hai. Yeh woh Nizaam hai jise Imam
Khomeini ne Iran me nafiz kar ke Iran ko Jamhuri-e-Islami-e-Iran (Islamic Republic
of Iran) banaya hai.
Ham Imam Khomaini (ar) ki
26th yaume rehlat par khuda se dua karte hai ki inqelaab-e-Islami ko
qayam aur dayam rakhte hue ise apne maqsad tak pahucha, is Inqelaab ko
Inqelaab-e-Imam Mahdi (ATFS) se jald az jald mila aur Imam Khomeini (AR) ke
darjaat ko buland farma.
Ilahi Ameen
No comments:
Post a Comment