Breaking

Thursday 25 May 2017

Bahrain! Ek ansuni mazloom kahani


West Asia me Persian Gulf ka ek chota sa desh jiska naam Bahrain hai. Bahrain ki halat kuch aisi hai ki aksariyat (majority) aur akalliyat (minority) me conflict hai. Bahrain ka baadshah, Al-Khalifa, Minority community se aata hai jo Sunni maslak se hai aur waha ki aksar awaam Shia hai. Al-Khalifa sarkaar aksariyat awaam par apne zulm ke liye duniya bhar me mashhur hai.


Is mamle ko firqaparasti ke aaine se nahi balki adalat ki nigah se dekhna zyada zaruri hai. Dictatorship hone ke naate Bahrain me awaam kuch nahi kar sakti aur wahi baadshah jo chahe kar sakta hai. Shia Musalmano ki majority hone ki wajah se Baadshah sidhe sidhe Shia logo ko desh se bahar nahi kar sakta isliye aise nae nae tariqe apnaae jaate hai jine majority ko thoda kam kiya ja sake. 

In tariqo me se kuch is tarah se hai:
  • Dusre desho se Shia maslak se alag maslak wale Musalmano ko Bahrain me bula kar unhe job dena
  • In bahar mulk se aae hue logo ko Government sector ki jobs, jaise Police, Military, Administrative jobs dena taaki majority awaam ki numaindagi koi na kar sake
  • Majority awaam ko Parliament aur digar elected posts par aane ki ijazat naa dena
  • Opposition parties jisme majority awaam ka representation ho, unhe kisi bhi tarah ki koi bhi activity karne ki ijazat nahi dena
  • Majority awaam ke ilaqo ko facilities provide nahi karna aur jo bahar se aae hue log hai unhe behtarin amenities dena
  • Opposition ke bade political figures ko arrest kar ke unki awaaz ko band karne ki koshish karna
Bahrain me Sarkaar ki khilaaf logo ka morcha 14 February 2011 se shuru hua jisme nihatte awaam ne Al-Khalifa hukumat ke khilaaf awaaz buland kari. Lekin aalami media ne is mamle par khamosh rehna pasand kiya kyuki Al-Khalifa hukumat America, Britain aur Israel ki himayati hukumat hai aur America ko West Asia me apni Fifth Fleet banane ke liye zameen de rakhi hai.

Al-Khalifa hukumat ki kisi bhi tarah ki kamzori Americi aur Israeli mafaad me nuksaan ki wajah ban sakti hai. 

Bahrain me lagbhag roz protest ho rahe hai; log pichle 6 saalo se sadko par hai; Haal to itna bura hai ki Bahrani sarkaar in protest par kaabu paane me nakamiyaab hoti nazar aati hai to pados ke mulk Saudi Arab se kiraye par fauj ko bula leti hai jo Majority Awaam par bedardi se zulm karte hai.

Haal hi me Sheikh Isa Qasim ko qaid kar ke un par muqaddama chalaya gaya aur fauji adalat ne unhe hukumat ka mujrim karar dete hue unhe kai saal ki qaid ki saza sunai aur saath me unka Bahraini citizenship bhi cancel kar diya. 

Donald Trump ke Saudi Arab ke daure ke baad to halaat aur bigad gae hai aur sheikh Isa Qasim ke ghar par Bahraini fauj ne hamla kar diya aur unhe aur unke mannewalo par shadeed zulm dhae. Is pure mamle me bahot se begunaho ko shahadat bhi naseeb hui.

Bahrain ke halat itne kharab hai ki maqami awaam ko desh ke ek hisse bilkul daba kar rakh diya gaya hai aur unhe apni awaaz buland karne ka koi rasta nahi diya ja raha.

International community is masle par shant hai aur wahi Syria ke mamle ko betahasha uthaya ja raha hai kyuki waha par hukumat ke khilaaf dehshatgardo ko hathiyar aur paise dene wale Saudi aur Americi hukumato ka mafaad chupa hua hai.

Kuch log is masle ko Shia Sunni tafreqe ka naam dete hai jabki yeh masla Majority aur Minority ka hai. Agar Bahrain ki awaam ko Al-Khalifa ki hukumat qabul nahi hai to waha democratic system kyu nahi implement kiya jana chahiye jiske chalte awaam apne pasand ke hakim ko elect kar ke use kaam karne ka mauka de aur isse Bahrain ke sabhi logo ka bhala ho sake.

Agar aap haq ko pasand karte hai aur chahte hai ki humara shumar haq ki madad karne walo me ho to hame chahiye ki Bahrain ke masle ko awaam ke saamne laae aur is par sab se charcha kare. Humari khamoshi mazloom Bahrainiyo par ho rahe zulm ke liye himayat ka paigham naa ban jaae.

Tehrir: Abbas Hindi

No comments:

Post a Comment

विशिष्ट पोस्ट

Pope Francis ki Ayatollah Sistani se Mulaqat

6 March 2021 ka din duniya ke do bade mazhabo ke liye ek khas raha jab Christians ke sabse bade religious authority, Pope Fra...