Breaking

Wednesday 9 March 2016

Kanhaiya Kumar - Desh Drohi, Vipaksh ka pyada ya Sachcha Hindustani?


Pichle kuch hafto se Hindustan me ek ajeeb si halchal hai jo isse pehle kabhi nahi mehsus ki gai. Ek taraf dharm ke aadhar par jama kiye hue voto se bani 337 MPs ki BJP sarkaar aur dusri taraf insaaf ki guhar lagate majboor aur lachar awaam. 

Achche dino ke sapne dekhne ke baad jaise hi nind khuli; mehangai apni charam seema chu rahi thi; har ek chiz par tax badh chuka tha; yaha tak ki mehnat se kamae hue EPF ke paise nikalne par bhi bhari bojh daalne ki koshish jaari thi. Service tax bhi badte badte 15% pahuch gaya tha. Dhanda corporates ke haath me tha aur chote businessmen behaal the. vijay Mallaya, Ambani aur Adani jaise logo ka karz maaf ho raha tha aur garib kisan atmahatya par majboor ho rahe the. 

Sapno wale achche din ke saath sampradaik tanav (communal tensions) muft me mile. BJP ke MP khule aam alpsankhyako ke khilaaf zahar ugal rahe the aur "Sabka Saath, Sabka Vikas" wala vakya ek chunavi jumla ban kar reh gaya tha. Muzaffarnagar ke saath apne refrigerator me beef rakhne ki afwaah par Akhtar ko apni jaan gawani padi. Dalit parivar ke chote chote bachcho tak ko nahi choda gaya aur unka gala ma baap ke saamne kaat diya gaya; students ko is hadd tak pareshan kiya gaya ki Rohith Vemula ko suicide karna pada. KYA YEHI ACHCHE DIN THE?

Garib janta jaise taise apne din guzar rahi thi aur kisi me kuch kehne ki himmat tak nahi thi. Agar koi sarkaar ke virodh me kuch kehne ki himmat karta to Dabholkar, Pansare aur Kalburgi jaisa maut ke ghat utar diya jaata ya dhamkiya aane lagti. Police bhi sarkaar ki awaaz par lathi barsaane aur giraftar karne lagi aur desh jaise gunde mawaliyo ka adda ban gaya. Halat aise ban gae ke Hindustan ek "Open Air Prison" ban gaya.

Hindustan me rehne wali aam janta ka saath dene ke liye kuch awaaze uthi jinhe dabane ki har tarah ki koshish ki gai. Inhi awaazo me se ek awaaz Pune Film Institute se thi; jise police ki madad se kuchal diya gaya. Rohith Vemula ne bhi bharpoor tariqe se awaaz uthai lekin use suicide karne par majboor kiya gaya. Itna sab dekh Hindustan ki rajdhani Nai Delhi se "Jawaharlal Nehru University" ke students union ki ek zabardast awaaz uthi, jiski lalkaar se sarkaar aur sabhi bhakt tharra gae. Awaaz me itni taqat thi ki gunde mawaliyo ko bhagne ka mauka bhi nahi mil raha tha. 

Is awaaz ko dabane ke liye ek aisa mantra khela gaya jisse saare desh ke log titar-bitar ho gae aur ek dusre ko "Desh Bhakt" aur "Desh Drohi" pukarne lage. Research students aur intellectuals ko boycott kiya jaane laga aur wo log jo sarkaar ki "Jai Jai kaar" kar rahe the, unhe sabse bade desh premi ki padvi di gai. News media, jo ki ek aisa madhyam hai jisse sarkaar ki kamiya logo tak pahuchai jaani chahiye; waha bhi kuch bhakt channels sarkaar ki "Jai Jai kaar" karne lage. 

Aisa man bana liya gaya ki JNU se uthi hui awaaz ko puri tarah se kuchal diya jaae aur aage se koi aisi harkat karne ki soch bhi na sake. Loktantrik sarkaar ka fasiwaadi sarkaar me rupantaran ho raha tha aur aise me wohi JNU ke students khade hue jinhe deshdrohi kaha jaane wala tha aur apni jaan aur career ki baazi laga kar desh me loktantra ke liye qurbaani de di.

Media me sabse zyada naam uchla Kanhaiya Kumar ka, jo ki JNU Students Union (JNUSU) ka mukhiya hai jisne Akhil Bhartiya Vidhyarthi Parishad (ABVP) ko university elections me haraya tha. ABVP Hindustan me RSS ki students wing hai jo desh ka bhagwakaran karna chahte hai. ABVP ki fauj JNUSU ke piche haath dho kar piche padi hui thi aur ek bhi mauke ko haath se nahi jaane dena chahti thi.

Aise me JNU ke kuch students ne Afzal Guru ko fasi diye jaane ki barsi ka program JNU campus me organize kiya. Wo students is program se government ke khilaaf apni naarazgi dikhana chahte the ki desh me bahot se cases aise hote hai jaha adalati karvai sahi tarike se puri nahi hoti aur kabhi kabhi galat saza di jaati hai. Isse ye kahi nahi sabit ho raha tha ki un students ka desh par vishwas nahi hai ya court ka apmaan kar rahe the. 

Is program me bahar se kuch logo ne bhi bhag liya tha aur program se hat kar deshvirodhi naarebaazi karne lage jise media ke kuch group ne shoot kiya. Is program ke baad kuch media channels, jaise Zee News ne, in video clips ko tod marod kar, voice overlap kar ke desh ke saamne apne News channels ke madhyam se rely kiya, jisme pure JNU ke students ko desh drohi bataya gaya.

In sab ke virodh me JNU Students Union ne bahot se program kiye aur Kanhaiya Kumar ne apne bhashan me bhi iska virodh kiya. Lekin media ke banae hue dabaw ke chalte aur sarkaar ke orders par Delhi police ne Kanhaiya Kumar ko giraftar kar ke desh droh ke aarop me book kar liya. Kanhaiya Kumar par Patiyala House Court me jo vakilo ne kiya wo jag jahir hai. Case court me zyada der tik na saka aur Kanhaiya Kumar ko court se bail mil gai.

Sawal yeh uthta hai ki Kanhaiya Kumar aur JNU Students Union sahi me desh drohi hai, ya phir vipaksh ka pyada hai ya ek sachcha Hindustani hai?

Agar Kanhaiya Kumar desh drohi hai to uske bhavishy me andhere ke siwa kuch nahi hai kyuki isi desh me rehte hue use zindagi guzarni hai aur yahi par aage bhi badhna hai. Agar deshdroh is baat se siddh ho jaata hai ki sarkaar ke khilaaf naare lagae jaae to vipaksh me baitha har ek paksh sarkaar ke kaam ke khilaaf awaaz uthata hai aur yeh desh droh nahi hai.

JNU ne azaadi se le kar abhi tak kai baar sarkaar ke khilaaf awaaz uthai hai, phir wo Congress ki sarkaar ho ya BJP ki.  Bhutpurv Pradhan Mantri Indira Gandhi ki Emergency ke waqt bhi JNU ne khasi bhumika nibhai thi. Kanhaiya Kumar ne apne bhashano me kabhi kisi party ka support nahi kiya balki usne Hindustan me purn swaraj ki baat kahi hai. To Kanhaiya ko kisi party ka pyada kehna uske liye hue stand ke saath nainsaafi hai.

Jo shaks aur jo students desh me azaadi aur political reform ki baat kar rahe hai wo deshdrohi kaise ho sakte hai? Kya un politicians ko deshpremi kaha jaae jo bina kisi dar ke farziwade kar ke desh ko loot rahe hai? Phir wo Congress ho ya BJP ya JDU ya RJD.. koi bhi party aaj desh ko sahi dhang se nahi chala rahi. Balki sab ko apni apni fikr hai aur logo ko loot rahe hai. Aise me in sab se azaadi ki awaaz hi ek sachcha deshprem hai aur inhe jo bhi deshdrohi pukar rahe hai unhe do baar soch lena chahiye ki kahi wo media ke behkawe me aakar to aisa nahi kar rahe.

Lekhak: Abbas Hindi  

No comments:

Post a Comment

विशिष्ट पोस्ट

Pope Francis ki Ayatollah Sistani se Mulaqat

6 March 2021 ka din duniya ke do bade mazhabo ke liye ek khas raha jab Christians ke sabse bade religious authority, Pope Fra...