Breaking

Tuesday 23 February 2016

JNU mamla aur Media



Aaj desh me sabhi logo ke saamne ek bahot zaruri sawal hai ki ye “JNU ka Mamla kya hai?”

Agar JNU ke students ki taraf se dekha jaae to we kehte hai ki Bharat ki Sarkaar chala rahi BJP university me apni manmaani chahti hai aur kisi bhi tarah ki awaaz ko uthne nahi dena chahti; yahan tak ke sochne ki azaadi bhi unhe khatak rahi hai.

Agar ABVP aur BJP walo ki baat sune to beshbhakti ki shuruwaat zaban se "jai jai kaar" karne se hoti hai. Aur agar koi kisi bhi tarah ki baat is "jai jai kaar" karne me badha bane ya aisa lage ki aage chal kar koi aisi soch bhi unke vicharo me adchan bane, to use deshdroh ka naam de kar use kuchal do.

Mamla saaf hai!! Jahan vicharo par bhi pabandiya lagane ki baat ho; aise mahol me zindagi jeena bahot mushkil hota hai. Sochne ke bahot se karan hote hai jaise apne dushman ki taraf se sochna, kisi mudde par aise angle se sochna jiska sachchai se koi talluq na ho ya phir bahot kathor ban kar sochna. Sochne ka parinaam yeh hota hai ki har taraf se chiz saaf ho jaati hai aur insaniyat ke saamne ek aisa natija aata hai jo kisi bhi tarah se shak ya dhundhlahat se saaf ho.

Lekin jab is sochne par hi rok laga di jaae aur kaha jaae ki jo ek vichardhara wale log soch rahe hai usi ko aakhir maan kar apni zindagi us par jeene lago; yeh ek tarah ki na dikhne wali jail hai jisme koi bhi azaad insaan jeena pasand nahi karega.

Aaj aam insaan is jail me fasta chala ja raha hai aur use bahar nikalne ka raasta nazar nahi aa raha. Agar kisi dharm ko manne walo se puche to wo bhi keh rahe hai ki mamla pechida hai, isse dur rehna hi achcha hai.

Alpsankhyak me Musalman ho ya Christan, Jain ho ya Parsi; sabhi is vivad se apne aap ko dur rakhte dikhai de rahe hai. Kisi ne yeh tak keh diya ki dharm aur siyasat ko nahi milana chahiye. Jabki achche se dekha jaae to BJP aur Hindutvavadi sanghatan dharm aur siyasat ko hi mila rahe hai.

In sab me media bahot ganda khel khel raha hai. Corporate jagat se jude News channels Loksabha elections me diye gae apne funds ko bhunane me koi kasar nahi chod rahe. Phir Times Now ho ya phir Zee News; Rajat Sharma ho ke Deepak Chaurasiya; sabki zuban do do feet ki ho kar desh ki jagah BJP aur Modi ji ki "Jai Jai Kaar" kar rahi hai. 

Media ka sabse pehla kaam hai ke wo hamesha sarkaar ke khilaaf kaam kare. Jo kaam sarkaar sahi dhang se pura nahi kar rahi use logo ke saamne laae aur unhe us mamle me jagruk kare taaki sarkaar sahi dhang se kaam kar sake. Lekin yahan mamla ulta dikhai de raha hai. Yeh media channels, Sarkaar ke geet ga rahe hai. Yeh ek aisa match hai jaha umpire / referee nispaksh nahi balki ek team ki taraf ho kar faisla suna raha hai.

Sarkaar, Police aur media ko Patiala Court ki maar peet dikhai di, na Zee News ka video edit. Rohith Vemula ka political suicide dikha na Dabholkar, Pansare aur Kalburgi ka target killing.

Aap se aur mujh se sawal hai; 
  • kya hume yeh sab dikhai diya?
  • Kya Humne  apna kartavya pura kiya?
  • Ya phir hum bhi media par dikhae ja rahe afwaho aur hindutvawadi vicharo se sehmat ho kar apni aankhe munde hue hai?
  • Ya apne gharo me baithe, What's aap groups par yeh kehte phir rahe hai ki mamla pechida hai, isme ulajh kar kya faeda?
Aap ke jawab ke intezaar me.

Lekhak: Abbas Hindi 

No comments:

Post a Comment

विशिष्ट पोस्ट

Pope Francis ki Ayatollah Sistani se Mulaqat

6 March 2021 ka din duniya ke do bade mazhabo ke liye ek khas raha jab Christians ke sabse bade religious authority, Pope Fra...