Breaking

Friday 28 August 2015

ISIS ki Brief History Aur Aaj Hamara Fariza

Kuch dino pehle mere ek dost ne, jo ki Indian hai, sawal kiya, “Ye ISIS kya hai? Ye apne aap ko Islamic State kyu pukaarte hai? Islam ke naam par ye group itni wehshatnaak harkate kaise kar sakte hai? Hamne to Hindustan me Musalmaano ko itna bura karte ya sochte kabhi nahi dekha”

Sawal sunte hi mere zahan me bhi tarah tarah ki tasweere aur khayalaat aane lage aur mai sochne laga ki media ne apna kaam kar diya. Hindustani awaam ke nazdik Islam ko aur Musalmano ko ek wehshi aur na-aql mazhab sabit kar diya.

Lekin aaj saare Musalmano ke zahan me bhi yehi sawaal hai ki:


  • Ye ISIS kya bala hai? 
  • 2014 ke pehle kabhi iska naam nahi suna tha; ye achanak kaise itne bade ho gae? 
  •  Aisa kaise ho sakta hai ki do desho ke bich ke ek bade hisse ko ye giroh control kar raha hai aur Duniya tamasha dekh rahi hai? 
  •  Saari duniya se hazaro naujawan kyu is group se jud rahe hai? 
  • Islam ka naam le kar ye giroh shaitan wale kaam kyu kar raha hai? 
  •  Aur bahot se sawalaat aaj sabhi ke zahan me uthna lazmi hai
Duniya me ho rahi halchal ne puri insaniyat ko jhangjor ke rakh diya hai aur isse Musalman achute nahi hai. History ki kitab padhe to pata chalta hai ke duniyaparast maghribi mamalik ne sirf apne mulko ko hi nahi balki saari duniya ko apni hawas ka shikaar banaya hai; jiske natije me duniya ko do badi jango (World Wars) ka samnaa karna pada jisse karodo logo ki jaane gai aur betahasha tabahi hui.

Dusre World War ke baad jab halaat raaste par wapas aa rahe the, usi waqt Middle East me British Government ne Israel naam ke ek lailaaj cancer ko janam diya, jiske baad se aaj tak Middle East ke bashinde chain ki nind nahi so paae hai. 

Israel ne na sirf Filistinoyo par zulm kiya blaki pure ilaaqe me rehne wali awaam par apna negative asar daala. Saath hi, nikamme Arab hukmarano ki harkato ne awaam ko aur zyada naumeed kar diya. Awaam ki halat aisi thi ke jaha kahi umeed ki halki si kiran bhi dekhti, us taraf daud laga deti. Lekin afsoos ke kahi leadership biki hui hoti; to kahi awaam ko badzan kar diya jaata.

Israel ki mazbooti aur isteqamat har aazad dil insaan ke sine me khanjar jaise chubhi hui thi, jise bahar nikalne ka koi raasta nazar nahi aa raha tha.

Isi bich 1979 me Mulke Iran me ek marde mujahid uthta hai jisko duniya “Imam Khomeini” ke naam se jaanti hai aur America ke bithae hue “Reza Shah Pahalvi” ko Iran se bahar kar, ek Islami Hukumat tashkeel deta hai. Apne pehle hi bayan me Imam Khomeini duniya ke tamaam Mazlumin ki Himayat aur Zalemin ki Mukhalifat ka aelaan karte hai; aur khas taur par Israel Filistin ke masle par roshni daalte hue Mazlum Filistiniyo ke haq ke liye har mumkin koshish karne ke apne pukhta irade ke baare me duniya ko batate hai.

Pyasi ummat ko ek sabeel dikhai deti hai jiske piche Israel ke khilaaf muttahid ho kar jama hua ja sakta hai. Kuch hi dino me saari duniya me Islami Inqelaab ki wah waahi hone lagti hai aur khas taur par Islami awaam Imam Khomeini ki qayadat ko baghair kisi maslak-o-mazhab ki qaid ke qabul karne ke liye aamada nazar aate hai.

Dushman America is aamadgi ko achchi tarah se bhanp leta hai aur us waqt ke Iraqi dictator, Saddam Hussein, ko jhute bahane bana kar Iran par hamla karne par raazi kar leta hai. 1980 me jab Iraqi fauje Iran ki sarhado me dakhil ho jaati hai aur Iran ki taraf se difai eqdaamat hote hai; Us waqt yehi dushman America apne media ke zariye is jang ko “Irani Shiyo ki Iraqi Sunniyo ke sath jang” se tabeer karne me apni puri taqat jhok deta hai. 

Aalami satah par media propagande ka asar dikhai dene lagta hai aur ummat nijaat ki sabeel, “Islami Inqelaab” se dur hone lagti hai. Firqawariyat ki ye chingari dhire dhire pure ilaaqe ko apni chapet me le leti hai aur usi ke fauran baad duniya me bahot si aisi chize saamne aati hai jo ki isse pehle kisi insaan ne nahi suni.

Islami Inqelaab e Iran ko media channels ek “Shia Inqelaab” se tabir karte hai aur ise Sunniyo ka dushman batate hai. Aisa karna America ke liye isliye bhi zaruri tha, kyuki agar awaam Imam Khomeini ke piche chal padte, to ilaaqe me maujood Israel ko mitne se koi nahi rok sakta tha. Ye chiz Imam Khomeini ke is jumle se saaf zahir hai jisme unhone kaha tha ki “agar duniya ke saare Musalmaan ek ho kar sirf ek ek Balti paani bhi Israel par daal de to Israel us sailaab me beh jaega.” Lekin afsoos ki ummat dushman ki chaal ka shikaar hoti hai aur Musalmaano ke liye bad se badtar din saamne aate hai. 

Isi dauran 1980 me, Afghanistan me Soviet Russia invasion ki koshish karta hai. Russia ke influence ko haraane ke liye America apne puppets ka istemaal karta hai, jisme use Saudi Arabia aur Pakistan ka pura pura support milta hai. Ye muhim Afghanistan me Islam ko Russia se bachane ke naam par shuru ki jaati hai, jisme Saudi Riyal ka zakhira Pakistan ki zameen par Mujahideen ki recruitment aur Training ke liye sarf kiya jata hai. Iske natije me Afghanistan me ek kattarpanthi giroh wujud me aata hai jiska naam “Taliban” rakha jaata hai.

Talibaan ka pehla maqsad Americi mafaad me Afghanistan se Russia ko bahar karna tha aur dusre maqasid me Musalmano ko Jihad ke zariye Khilafat ke nifaaz ke raste ko aashna kara kar Sunni Muslamano ko Iran me aae Islami Inqelaab se dur karna bhi tha.

Taliban apne pehle maqsad me kamiyaab hota hai aur Russia Afghanistan se bahar chala jata hai. Isi ke sath wo log jo Sunni Khilafat ka khwab dekh rahe the unhe  ek raah mil jati hai aur Taliban jaise giroh jinme Al-Qaeda aur Al-Shabab shamil hai, apna sar uthane lagte hai.

Ek taraf Ilm, Eman aur taqwe ke bal par kamiyabi ki choti ko chumti dikhai deti Jamhuriye Islamiye Iran ki hukumat, jo insaniyat ko amn o sukun faraham kar ke ek Ilahi Hukumat ki jhalak de rahi thi aur dusri taraf zulm o tashaddud me aalud Taliban aur Al-Qaeda jo Islam ki shakl bigad kar duniya ke saamne rakh rahe the.

Aise me bhole aur jazbati log fareb me aa kar galat raah ikhtiyaar karte hai aur saari duniya me ek bohran uth khada hota hai. Jo aag dushman America ke khilaaf lagi thi aur jiska shikaar Israel ko hona tha, wo aapsi ladai ki shakl le leti hai. Ummat-e-Muslima ka Israel ke khilaaf ka gussa ek firqawarana tarz par manzare aam par aata hai. 

Isi asna me kuch naam nihaad Shia hazraat jo London, Canada aur America me rehte hai, apni government ki funding ke zariye private TV channels aur dusre tariqo se khule aam Sunni hazraat ke taqaddusat ki tauheen karna shuru karte hai aur ise apna jayaz haq batate hue saari hade paare kar dete hai. Ise bahana bana kar firqaparast tanzeeme apni rotiya sekti hai aur ek aisi tehreek ka aaghaz hota hai jiske baare me kisi ne socha bhi nahi hoga.

Baat yahi par khatm nahi hoti. Apne wujud ko bachane ke liye Israel har qimat chukane ko tayyar hota hai aur wo in firqaparast logo ko apne aap me uljhane ke liye aur zyada plannings karta hai. Afghanistan aur Iraq par Americi hamle ke baad ye aag aur bhadak uthti hai aur Al-Qaeda naam ka ye giroh Iraq me bhi apne pair pasarne lagta hai. Yeh sab ittefaq nahi balki ek sochi samjhi sazish ke tahat hota hai jiska faeda sirf aur sirf Israel ka Middle East me difa karna hai.

Iraq me American invasion ke sath hi Ummat-e-Muslima me ek ajeeb qism ki halchal mehsus hoti hai jisme American media Middle East me “Shia Crescent ke tulu hone” ka campaign chala kar Sunni Arab duniya me ghabrahat failane ke liye istemaal karta hai. 

Saddam Hussein ki hukumat girne ke baad Iraq me America ek Pseudo Democratic structure (Nakli Jamhuriyat ka dhacha) tayyar karta hai jisme Kurdistan ko Autonomy di jaati hai. Iraqi Sunniyo ki numaindagi me waha ke President ko nominate kiya jata hai aur Prime Minister ki aham post Shia ke liye reserved rakhi jaati hai. In sab ke sath, decision making powers Prime Minister ko diye jaate hai. Iske sath hi nai Iraqi Government ko Western media Shia government ke naam se mukhatib karne lagta hai; Jiske natije me “Shia Crescent” ki terminology ko sahi sabit kiya jaata hai.

In sab ke chalte, Saudi Arabia apna waqar qayam rakhne ke liye apne aap ko Sunni Arabo ka alambardaar hone ka aelaan karta hai aur Iraq me Al-Qaeda giroh ko funds aur weapons ke zariye support karta hai. Iske natije me Iraq me lakho begunah Musalmano ki jaane jaati hai aur halaat bad se badtar ho jaate hai.

2011 me jab Tunisia se “Arab Spring” naam ki ek hawa chalti hai jisme Arab desho ki awaam apne hukmarano ke khilaaf ekjut ho kar system change ki demand karti hai. Tunisia, Egypt, Yemen aur Bahrain me ehtejaaj zor pakadne lagte hai. Natije me Tunisia, Egypt aur Yemen ki governments change ho jaati hai. 

Isi waqt Syria me bhi kuch log “President Bashar Al-Assad” ki hukumat ke khilaf ehtijaaj karte hai. Is ehtijaaj ko America aur uske sathiyo ka bharpoor support milta hai. Yaha ek baat batana zaruri hai ki Syria hamesha se hi Israel ka shadeed mukhalif raha hai. 1967 ki war me Israel ne Syria ki Golan pahadiyo par kabza kar liya tha jaha par aaj tak Israeli kabza baaqi hai aur Syria ne use wapas lene ke liye Israel ke samne jhuk kar kisi qism ki suleh nahi ki. Syria ko apne is stand ka khamiyaza bhugatna pada aur waha ke rebels ko Western support milne laga. Waqt ke sath protest rallies armed conflict me tableel hoti gai, aur government forces me aur baghiyo me ghamasan ladai shuru ho gai.

Phir se Western media ne apna khel khela aur is ladai ko Shia-Sunni jang ka rukh diya jabke haqiqat me ye jang Americi mafaad me Syria ki zameen par ladai ja rahi thi. Assad ek Alawi Muslim hai jo Shia aur Sunni se alag ek chota sa firqa hai. Iran Syria me political solution ki himayat karta hai aur kisi bhi tarah ke armed conflict (hathiyaro ki jang) aur foreign countries ke mudakhilat ki sakht mukhalifat karta hai. Aur chuki Assad ki hukumat Israel ke khilaaf apne stand par qayam hai, Iran ise Musalmano ke haq me jaante hue waha par kisi bhi tarah ke Western supported takhtapalat ki himayat me nahi hai. Kyuki agar Western taqato ke balbute par takhtapalat hota hai to koi aisa aadmi / party hukumat me aaegi jo America ki policies ko support karegi aur Israel ko aur zyada amniyat faraham ho jaegi.

In sab ke chalte Middle East me zamini war ke sath sath media war tezi se apne pair pasarne laga, aur Arab Sunniyo ko ye tasleem kara diya gaya ki ye jang asl me Shia aur Sunni ke bich ki jang hai. Iske natije me log badi tadaad me Syrian rebels ko join karne lage aur wo strong hote gae. Syrian rebels me Al-Qaeda bhi badi tadaad me shamil tha aur waha par uske groups Jabat-an-Nusra, Ahraar-Ash-Sham aur dusre naamo se hukumat ke khilaaf jang lad rahe the. Americi aur Saudi madad ke chalte baghiyo ne ek bade ilaaqe par kabza jama kar uspar apni hukumat qayam karne ka dawa kiya aur ise “Islamic State of Iraq & Syria (ISIS)” ka naam diya.

Islamic Republic of Iran ke baad ye pehla giroh tha jisne Islamic State ka naam istemaal kiya tha. Ye asl me un Sunni Musalmano ko apni taraf laane ka ek harba tha jo Islami hukumat / khilafat ka khwab dekhte the. Dekhte hi dekhte saari duniya se log Syria ka rukh karte hai aur hazaro ki tadaad me Turkey ki sarhad ke zariye ISIS ko join karte hai.

Ab ye giroh sirf Syria tak mehdud nahi rehta balki Iraq me bhi jo Sunni ilaqe hai waha par apne pair pasarne lagta hai. Andurani kaam ka aaghaz hota hai aur Sunni qabilo ko is baat par bhadkaya jaata hai ki Saddam Hussain ki hukumat jaane ke baad Shia hukumat ke zariye Sunniyo par bahot zulm kiye ja rahe hai. 2014 ke start me Maliki Government ke khilaf Sunniyo ke protest sab ko yaad hoge. Isi ka faeda uthate hue ISIS ne apna kaam karna shuru kiya aur Iraqi Sunni qabilo ko aur Saddam ke zamane ke fauji afsaro ko is baat par raazi kar liya ki jab ISIS Iraq par hamla kare to apni jagah chod kar bhag nikalna.

April 2014 ke Iraqi Prime Minister ke elections ke natijo ka aelaan hota hai jisme Maliki ki party ko phir se ek baar sabse zyada votes milte hai. Natijo ke thik do din baad ISIS Iraq ki sarhad paar kar ke Iraqi fauji thikano par hamla karte hai. Pehle se tae mansube ke mutabiq fauji afsaran apne thikane chod ke bhag khade hote hai aur qabilo ke sardar ISIS ka sath dete hai. Natijatan ISIS ka Iraq ke Northern areas me kabza hota hai aur Baghdad ke 40 Kms dur maujud Falluja tak ISIS ke kabze me aa jata hai.

Ab ISIS ka asli dushman Iraq aur Syria ke Shia hote hai kyuki unke zahno me ye baat achchi tarah se daali gai hoti hai ki hukumat milne par inhi Shiyo ne Iraq aur Syria ke Sunniyo par zulm kiya hai. Israel ki koi baat tak nahi karta. Gaza aur Ramallah ke mazlum Filistiniyo ko jaise pura jahan bhool chuka hota hai. ISIS apne Khalifa ka aelan karta hai jiska naam Abubakr Al-Baghdadi hota hai aur kuch hi dino me ISIS apna naam badal kar sirf Islamic State (IS) kar deta hai. 

Wohi Western media jo haqiqat ko chupate hue apne banae hue puppets ko asli hukmaran sabit kar raha tha, aaj American fund se bane hue ek aatankwadi giroh ko “Islamic State” ka naam de kar duniya me Islam ka naam kharab kar raha hai.

Firqawariyat kahi bhi ho, khatre se khali nahi. Wo Shi’iyat jiska headquarter London me hai ya wo Sunniyat jiska markaz Newyork me hai, hamesha islam ko nuksaan pahuchane ka hi kaam karegi. Asli Dushman ko samajh kar halaat ka jaeza lena bahot zaruri amal hai aur uske baad hi koi bhi eqdaam kaargar sabit ho sakta hai. Apni majliso aur bayano ko firqawariyat se paak karna aaj Ummat-e-Muslima ka behad zaruri amal hai.

Yaha hame, ek Musalman hone ke naate, samajhdari se kaam lete hue sabse pehle ye dekhne ki zarurat hai ki firqawarana taane aur jhagdo se sirf aur sirf dushman ka faeda hota hai aur hame kisi bhi qism ki taraqqi ya fazilat hasil nahi hoti. Isi ke sath hamare samaj ke ek zaruri chiz jise “Bharosa” kaha jaata hai usko thes pahuchti hai, jisse qaumo me duriya paida hoti hai jiska natija aane wale mustaqbil me bahot kharab ho sakta hai.

Writer: Abbas Hindi

No comments:

Post a Comment

विशिष्ट पोस्ट

Pope Francis ki Ayatollah Sistani se Mulaqat

6 March 2021 ka din duniya ke do bade mazhabo ke liye ek khas raha jab Christians ke sabse bade religious authority, Pope Fra...