Breaking

Tuesday 21 July 2015

Ayatullah Khamenei ka Eid-ul-Fitr ka khutba




Rehbar-e-Moazzam Ayatullah Syed Ali Khamenei ke Eid-ul-Fitr ke khutbe ke important points:


  • Marg bar America, Marg bar Israel ke naaro ne hamare mulk ka mahol badla hai, ye sirf Tehran ya bade shahro ki baat nahi hai, balki pure Iran ka mahol inhi sheaar ne tabdeel kiya hai.

  • Nuclear deal ki kuch baate: sabse pehle mai mulk ke President aur Nuclear deal ke ahalkaar, ho in taweel muzakeraat ka hissa rahe hai, ki mulk ke liye jaddo-jahad ko sarahta hu.

  • Jo baate JCPOA ke tahat ek legal framework ke tahat tai paai hai, asl me unhe jaisa tai paya hai amal me lana chahiye. Agar ye framework dono partiyo ki taraf se qabul kiya jae ya qabul na kiya jaae, ham kisi bhi qimat par khudai madad se is deal ke zariye hamari qaum ko nuksaan nahi pahuchne dege.



  • Hamari difai quwat aur mulk ki security Allah ki madad se hoti rahegi aur Iran kabhi apne dushman ki zyadatiyo ke saamne ghutne nahi tekega.

  • Yeh deal, agar qabul ki jae ya qabul na ki jae, ham apne ilaqe ke dosto ko kabhi akela nahi chodenge. Hamesha mazloom Filistin, Yemen, Syria, Bahrain ki madad jaari rahegi, khas kar Lebanon aur Filistin ke mukhlis mujahedin ki.

  • Haal me jaari muzakeraat ke chalet aur jo deal tai paai hai uske tahat, zalim Americi nizaam ke muqabil hamari policiyo me koi farq nahi aaega. Is ilaqe me Americi Policy me aur Islami Jamhuriye Iran ki policiyo me 180 degrees ka farq paya jata hai.

  • Jaisa ki pehle bataya ja chukka, hamne America se kisi bhi International, regional aur bilateral muddo par baat nahi ki hai. Halaki harami taraf se kuch zaruri muddo par kabhi kabhi guftagu hui hai jaise Nuclear deal.

  • America Lebanon ke moqawamati (Resistance) qaumi fauj, Hezbollah, ko terrorist giroh jaanta hai; jabki dusri taraf ek haqiqi atanki, bachcho ke qatil, Israeli Regime ko jayaz qarar deta hai. Ham aisi policiyo se kaise raazi ho sakte hai?

  • Haal me chal rahe Nuclear muzakeraat ke chalet, jo ke hamare gharelu muddo ki wajah se hai, America samajh raha hai ki usne Iran ko Atomi Hathiyaar banane se rok diya hai.

  • Atomi Hathiyaaro ka Nuclear deal ki muzaakeraat se koi lena dena nahi hai. Quraan aur Islami Shariat ki roshni me, ham ye maante hai ki Atomi Hathiyaar banana, use jama karna aur uska istemaal ek najayaz aur haram amal hai.

  • Wo log dawa kar rahe hai ki unhone Iran ki Atomic industry ko jhuka diya aur band kar diya. Iran ka jhukna din me sapne dekhne jaisa hai. Islami Inqelaab ke baad se aaj tak 5 America Presidents aae; kuch mar gae aur kuch tarikh me gayab ho gae. Sabhi yehi soch rahe the ki Iran ko jhuka dege. Aaj tum log bhi usi galti ko dohra rahe ho.

  • Mai Americi afsaran ko ek nasihat karna chahta hu; aaj, aap log apni purani galtiyo ka eteraaf kar rahe ho jo tumne Iran ke khilaaf kai saal pehle kit hi. Abhi bhi waqt hai, jag jao aur jaan lo ki is ilaqe me tum log phir se bahut badi galtiya kar rahe ho.

  • 12 saal ke lambe arse ki baatchit aur bargaining ke zariye Iran ne duniya ke 6 bade mulko ko ye maanne par majboor kar diya ki kai hazar Atomic Centrifuges aur Nuclear Research Iran ka buniyaadi haq hai.

  • Unhone is baat par kai saal guzaar diye ki Nuclear Industry aur Research ko Iran me na hone diya jaae; lekin aakhir unhone is baat ko maana, likha aur sign bhi kiya. Iska matlab ye hai ki Iran ko hakimiyat mili.

  • Americi President ne kaha hai ki wo Irani military ko aasani se hara sakte hai. Ye baat sabit hai ki ham jang nahi chahte aur na hi jang ki ibtida (Start) karte hai. Lekin agar ham par jang thopi jaegi to log ye dekhege ki jiski sharmnaak har hogi wo haqiqatan zalim aur jabir America ki hogi.

  • Sura Nasr: Jab Allah ki madad aa jae aur kamiyaabi naseeb ho. Aur tum logo ko dekho ki we Allah ke deen me giroh ke giroh dakhil ho rahe ho. To apne rab ki tareef karo aur uski bargaah me tauba karo. Beshak wo bada tauba qabul karne wala hai.

No comments:

Post a Comment

विशिष्ट पोस्ट

Pope Francis ki Ayatollah Sistani se Mulaqat

6 March 2021 ka din duniya ke do bade mazhabo ke liye ek khas raha jab Christians ke sabse bade religious authority, Pope Fra...