Breaking

Thursday 11 June 2015

Sayed Nasrallah talking about Imam Khamenei - Roman




  • Imam Khamenei ek harfanmaula shaksiyat hai jo ek sath bahot se shobo me maharat rakhte hai

  • Imam Khamenei “Wali Amre Muslemin” hai, aur is mansab par pahuchne ke liye insaan ko bahadur aur ahal hone ki zarurat hai

  • Imam Khomeini (AR) ki rehlat ke baad se Imam Khamenei ne is zimmedari ko bakhubi nibhaya hai

  • Imam Khamenei mushkil waqt me bhi ummate Muslema ke ek Qabil rehnuma aur leader ban kar saamne aae hai

  • Imam Khamenei ki rehnumai me Iran ilaaqai power ban kar saamne aaya hai

  • Western media ne hamesha se Imam Khamenei ke khilaaf ek muhim jaari rakhi hai jisme unhe hamesha sideline par rakha aur kabhi achche tarike se cover nahi kiya

  • Mere kuch Hindustani aur Pakistani biradaran ka kehna hai ki jab unhone rehbar se mulaqaat ki tab unhe maloom hua ki unke ilaaqe ke bare me khud un se zyada malumaat rehbar ko hai

  • Mere ilm ki bina par aaj ki tarikh me duniya ka koi aur leader ilm hasil karne me itna waqt nahi guzarta jitna Imam Khamenei guzarte hai.

  • Imam Khamenei ek aise aalim aur danishwar hai jinka talluq sidhe awaam se hai

  • Jo rehbar ki kitaabe aur taqreer suntan hai, wo unke khas rehbariyat ke nuqqat se achchi tarike se waqif hoga

  • Jab baat dini taleem ki aati hai, rehbar kisi ki naql nahi karte, blaki unka padhane ka ek khas tariqa hai.

  • Imam Khamenei ek aise faqih hai jinhe fiqh ka bahot gahra ilm hai

  • Hame Imam Khamenei ko unke liye nahi balki khud apne liye janne ki zarurat hai

  • Imam Khamenei ek bahadur aur azaad insaan hai jo kisi bhi qism ke dabao kea age nahi jhukte

  • Aaj hame aise Islami Ulema aur danishwaro ki zarurat hai jo haal kea ur aane wale mushkilaat ka saamna kar sake

  • Hamare ambiya (a) hamesha aage badh kar tableegh kiya karte the aur kuffar hamesha bachao ki niti apnaate hue apne buto aur manghadat rusumaat ko bachate rehte the, lekin afsoos aaj Islam defensive mode me hai.

  • Aaj ulemao ko chahiye ki Western aur Israeli sakafati hamlo (Cultural attacks) ka aage badh kar muqabla kare.

  • Aaj hame Imam Khamenei ko sabhi Musalmano ke saamne pesh karne ki zarurat hai; jaise Shaheed Baqir-as-Sadr (ar) ki kitabe sabhi jagah padhai jaati hai

  • Mai aaj sabhi Shia, Sunni aur digar mazhab ke logo ko Imam Khamenei ki Zaat se faeda uthane ki dawat deta hu

Was salamo alaikum wa rahmatullah

1 comment:

  1. Mojuda shaqafati yalgar ko rokne wali qayadat ko samjana bahot zaruri he.aur unhone ilaqayi w super power k samne jo ilmi andaz se pure ME ki shahenshahi islam mukhalif allies aur unki pusht panahi karne walo ko naqam banaya he.

    ReplyDelete

विशिष्ट पोस्ट

Pope Francis ki Ayatollah Sistani se Mulaqat

6 March 2021 ka din duniya ke do bade mazhabo ke liye ek khas raha jab Christians ke sabse bade religious authority, Pope Fra...